Wednesday 23 February 2011

Sabr Aur Yaqeen

Hadees pak ka mazmoon hai k Yaqeen poora eeman aur Sabr Nisf Eeman hai

Dua

Ya ALLAH aap ne Quran-e-Pak may wada farmaya hai k tum apnay RUB se istaghfar karo to mai Barish barsaunga, aur tumhain maal doonga, aur tumhain aulad bhee doonga. To ya ALLAH hum gunahon ki zindagi chhor chukay hain aur istaghfar kartay, ab aap bhee apna wada poora  farma deejye aur hum par barish barsaye, humain maal bhee deejye aur humain naik sualeh aulad bhee ata farmaye. Be-shak aap k waday may zarra barabar bhee shak ki gunjaish naheen aur hum aap k har waday per eeman latay hain

Dua

Haq paraston ki agar ki tu ne dil-joi naheen
Taana daingay but k muslim ka KHUDA koi naheen

Dua

Ya ALLAH hum taqwa ka aik shehr thay, hamaray gunahon k zalzalon ne isay tabah kar dala, ab sirf aik deewaar baqi bachi hai.  Is aik deewaar ko to na girnay dain. Agar ye aik deewaar bhee gir gai to aap ka dushman shetan poora khush ho jaey ga. Aur aap apnay dushman ko poora khush honay ka moqa na deejye

Dua

Ya ALLAH hum taqwa ka aik libas thay, hamaray gunahon ki qainchee ne isay chaak kar dala, ab sirf aik taar baqi hai.  Is aik taar ko to hamaray jism se juda na keejye. Agar ye aik taar bhee utar gya to aap ka dushman shetan poora khush ho jaey ga. Aur aap apnay dushman ko poora khush na honay dain

Dua

Ya ALLAH aap baray hain aur baron ka zarf  bhee bara hua karta hai. Hum to na-laaiq thay so na-laaiqi  he ki. Lekin aap hamaray sath wo karain jo aap ki shan k laaiq hai. Hamari  bari bari khataain aap ki rehmat k samnay kuchh naheen. bus humain maaf kar dain aur apni har nemat humain de dain

Dua

Ya ALLAH nafs-o-shetan aur dunia k tanay peechhay lagay huay hain, aur mere paas waqt kam hai, aur ab sirf aik sans baqi hai, ay ALLAH meri is aik saans per rehm farma deejye, warna ye nafs-o-shetan aur dunia ka selab mujhe baha kar le jaey ga

Dua

hamaray mangnay k baad denay may der na keejye takay dunia ko bolnay ka moqa na milay. mai makhlooq ki baaton aur taanon ka jawab naheen de sakta. kyoon k jo cheez mere ikhtiyar may naheen hai mai us ka jawab kyoon doon. aap k ikhtiyar may sub kuchh hai lihaza aap he apni shan k mutabiq jawab dain, aur mujhe sabr aur apni raza per razi rehnay ki himmat aur taufeeq de. beshak aap se pyara aur koi naheen hai ay mere pyaray kareem RUB

Dua

Ay ALLAH esa kesay ho sakta hai k koi to aap par bharosa kar chuka ho aur aap usay ruswa kar dain aur be-yar-o-madadgar chhor kar dunia k hawalay kar dain, esa to aap k karam k bilkul he khilaf hai

Dua

Ay KHUDA ghair ka bannay naheen dena hum ko
Tum to apnay ho humain apna banaey rakhna

(Hazrat Khalid Iqbal Taib Sahab - Khalifa-e-Majaz Hazrat Hakeem Akhtar Sahab Damat Barkatuhum)


ALLAH tala shehrag se qareeb hain

Tu to kehta hai rag-e-jan se bhi hoon mai qareeb
Phir parishan kyoon aaj ka musalman dekhta hoon

Sabr Aur Riza

jo sabr karta hai aur ALLAH ki raza per razi rehta hai to ALLAH tala us k sath ho jata hai. yani sub se bari super power aur sub se bari qudrat aur hikmat wala jis k sath ho jaey to phir gham aur parishani kis baat ki. Bus har haal may ALLAH tala ki nematon ko zyada yad karay aur shuker karta rahay, jald inshaALLAH har mamlay se nikal jaey ga

Umeed

Band jab sub dar huay mere lye
Ghayb se paida ik naya dar hua

Iqrar-e-Nadamat

Ay ALLAH!
koi manzil bhee hai is gunehgar ki
ya tarapta rahoonga yoonhi umer bhar
mai ne mana khataon ka putla hoon mai
apni nazron se lekin girana naheen


Gunah Ki Waja se Dua Ka Dair Se Qubool Hona

Ay ALLAH mere wo tamam gunah maaf farma jo meri duaon ki qubooliat may rukawat banay huay hain. aur is k ilawa bhee tamam gunah maaf farma

Sajdon May Rona

aik buzurg farmatay hain k jo shakhs sajdon may rota hai usay taqdeer per rona naheen parta

ALLAH tala per marna aur jeena

Khushi per un ki marna aur jeena he muhabbat hai
Na kuchh parwa-e-badnami na kuchh parwa-e-Alam hai

Hai rooh-e-bandgi bus un ki marzi per fida hona
yehi maqsood-e-hasti hai yehi mansha-e-alam hai

Sheikh-ul-Arab Wal-Ajam Arif Billah Hazrat-e-Aqdas Hazrat Maulana Shah Hakeem Muhammad Akhar Sahab Damat Barkatuhum


Fasiq-o-Fajir Ki Tareef

Fasiq k lughwi maanay "choohay" k hain, chooha chhup kar kaarwai karta hai isi lye chhup kar gunah karnay walay k lye ye lafz use hua

Faajir k lughwee maanay hain "phatna" ya "kisi cheez ka zuhoor hona" isi lye alal-ailaan aur zahiri gunah karnay walay k lye ye word use kia jata hai, ye lafz fajr se nikla hai

Tuesday 22 February 2011

Musalman ko Qabr may Azab Kafiron Ki Tarha Na Ho ga

Malfoozat-e-Hakeem-ul-Ummat may hai k Hadees pak ka mazmoon hai k Dozakh main musalmano ko kuffar jesa azab na hoga, jaisay kisi ko behosh kar k operation kartay hain tu usay khabar bhee naheen hoti, Musalman k liye soorat azab hai aur kafir k k lye haqeeqat-e-azab hai. Hazrat thanvi ne farmaya k jee to naheen chahta k ye batain awam ko bataoon k kaheen jarree na ho jain, magar muslim ki Hadees main saaf likha hai, ikhfa kesay karoon. Parh kar ansoo atay hain itna kareem hai hamara RUB aur hum hain k shuker hee naheen kartay

Dua

Ay ALLAH
Esa na ho k azmaishain mujhe gumrah kar dain
Tu mere jism aur rooh ko achha kar de
Ye zindagi meri dunia dari may uljhi hai
Jesa tu chahta hai ab mujhe wesa kar de
Mere har faislay may ho teri raza shamil
Jo tera hukum ho wo mera irada kar de

ALLAH per aitmad

ALLAH per aitimad us bachay ki tarha karo jis ko aap hawa may uchhalo to wo hansta hai darta nahee, kyun k wo janta hai k aap usay girnay naheen daingay