Wednesday 27 April 2011

ALLAH ki muhabbat ki masti jab tak he hai jab tak k asbab-e-gunah se door hai

ALLAH tala ki muhabbat ki mastiaan jab tak he hain jab tak k asbab-e-gunah se door hai, jesay he asbab-e-gunah qareeb aey to sub mastiaan khatam. sohbat-e-ehlullah se admi ki rooh zinda rehti hai aur nafs mita rehta hai. nafs marta naheen hai, haan kamzor aur sard par jata hai, lekin asbab k qareeb atay he is may phir se garmi aa jati hai. molana roomi r.a. farmatay hain k machhli ko pani se nikalo to thori der tak to tarapti hai lekin phir thori der k baad wo tarapna bhee khatam ho jata hai aur mar jati hai. isi tarha ALLAH walon se door zyada din tak agar door huay to thoray din to tarpo ge phir wo tarap bhee khatam ho jaey gee aur eemani maut waqay honay ka khadsha hai

ALLAH tala ki ashad muhabbat

"dikha jalwa wohi ghaarat gar-e-jaan-e-hazeen jalwa!"

yani ay ALLAH dikha wo tajalli k jo meri ghamgeen jaan ko must kar de, mere dil k tukray tukray ho kar under tak wo tajalli dakhil ho jaey jesay toor pahar tukray tukray hua to tajalli zarray zarray may dakhil ho gai thee. Ay ALLAH apni esi koi nishani dikhla de k hamara eeman barh jaey aur phir hum koi gunah na kar sakain. Ay aram-e-jaan-e-be-qararaan to hamaray dil ko apni muhabbat aur yaad se bhar, dil k zarray zarray may tajalli ko dakhil kar de aur us ka tahammul bhee de jis ko ALLAH tala apna banatay hain phir us ko dunia ki kisi cheez se sukoon naheen milta, us ko to sirf ALLAH he ki yad se sukoon milta hai, jesay bachay se maa door ho jaey to us k samnay lakh khilonay la kar rakh do wo to kehta hai k mujhe kuchh achha naheen lag raha mujhe to meri amma chahye. ALLAH tala humain apni esi muhabbat mehz apnay karam se naseeb farma dain.

Hazrat wala ka sher hai k:

wo mujhe yad gar naheen kartay
yad un ki mujhe naheen aati

yani ay ALLAH jab aap mujhe yaad kartay hain jabhee mujhe aap ki yaad aati hai

Tuesday 26 April 2011

bhanwain nochnay wali aur nuchwanay walion par lanat aai hai

Hadees pak may bhanwain nochnay wali aur nuchwanay walion par lanat aai hai. aur lanat k meanings hain ALLAH ki rehmat se doori. lihaza humain apnay ghar ki khawateen ko is cheez se rokna chahye takay is laanati kaam se bachain. aurtain kehti hain k hum to shohron ko dikhanay k lye banwatay hain, to un k shohron ko chahye k un se ye kahain k humain to tum bhanwain banwaey baghair he achhi lagti ho. ye bohat lanati amal hai is ka humain aur khawateen ko sakhti se notice lena chahye.

is zamanay may sohbat-e-ehlullah farz-e-ain hai

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "is zamanay may sohbat-e-ehlullah farz-e-ain hai". Hindustan may jis zamanay may irtidad (deen se phir janay) ki hawa chali to us waqt Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya tha k "musalmano ko chahye apnay mojooda eeman par shukar ada karain." ye eeman ki hifazat k nuskhon may se hai aur husn-e-khatima ka bhee nuskha hai. kyoon k Quran pak may hai k tum shukr karo ge to hum aur daingay. lihaza eeman par shukr se eeman aur ghatay ga aur soo-e-khatima se door ho ga.

safar may 2 cheezain ghar par chhor kar aey: Raahat aur Ghussa

Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "safar may 2 cheezain ghar par chhor kar aey: aik Raahat aur doosra ghussa"

shukr karna tawazo ki alamat hai

Hazrat bayazeed bustami r.a. aik dafa kaheen jarahay thay to rastay may aik shakhs ne ooper se raakh un k ooper phaink dee. to unhon ne farmaya ALHAMDULILLAH!. aik khadim un k sath tha bola k hazrat yahan shukr kyoon kya, takleef par to inna lillah parhna chahye tha. to Hazrat ba-yazeed bustami r.a. ne farmaya k "jo sir aag barsanay k qabil tha us par sirf raakh barsai gai to kya mai shukr na karoon" is waqiay se ye pata chala k in buzurgon ki fanaiyat ka kya alam tha k apnay ko kuchh naheen samajhtay thay kisi qabil naheen samajhtay thay, aur shukr kya, kyoon k shukr aur kibr may tazad hai. shukr may nazar ALLAH ki taraf hoti hai k jo mila wo aap ki ata hai warna is ka bhee mustahiq bhee na tha, lekin mutakkabir ki nazaar apnay kamal par hoti hai k jo kuchh hua mera kamal hai, aur jo mila us se zyada ka apnay ko mustahiq samajhta hai isi lye shukar bhee naheen karta. isi lye har mutakabbir na-shukra hota hai aur shakir mutakabbir naheen ho sakta, kyoon k nemat ko apna kamal samajh he nahee raha, ALLAH ki ata samajh raha hai jabhee to shukr kar raha hai. to ba-yazeed bustami jo shukr kar rahay hain to is pata chalta hai k in buzurgon may tawazo ka kya alam tha k apnay ko kisi izzat-o- ikram ka mustahiq naheen samajhtay balkay jo raakh barsi to ALHAMDULILLAH keh rahay hain k mai to aag barsanay k qabil tha, raakh baras gai to is par bhee shukr hai.

isi tarha aik dafa Hazrat Junaid baghdadi masjid may thay ailan hua k jo is masjid may sub se zyada gunehgar hai wo bahir nikal jaey, to Hazrat junaid baghdadi sub se pehlay bahir nikal k aagey. to kisi ne un k shaikh shibli se ja kar ye maajra bayan kya to Hazrat shibli ne sard aah bhari aur farmaya k "aah! us ki isi ada ne to us ko junaid bana dya"

muntazir-e-salam rehna bhee alamat-e-takabbur hai

1. kisi soofi (salik) ko kisi ne kuchh keh dya to foran ghussa ajaey to ye alamat-e-takabbur hai. yani agar haq baat kahay to na manay aur ghussa ajaey aur agar na-haq bhee ho to tab bhee bardasht karay, kyoon k ye to haq hai na k "mai tamam musalmano se kam tar hoon fil haal aur tamam kafiron aur janwaron se kam tar hoon fil-ma'aal (yani anjam k aitibar se)". to jab apnay ko kamtar har aik se samajhta hai to ghussa kyoon aa raha hai. na-haq baat par ghussa tab'an aa sakta hai lekin us ghussay ko pee jana he to kamal hai. jesay aik buzurg ko kisi hasid gustakh ne kaha k aap "harami hain" yani haram ki aulad hain. to un buzurg ne is ko maslay k tor par lya aur farmaya k bhai "mere walid k nikah k gawah ab bhee mojood hain mai un se tumhain milwa sakta hoon"

2. muntazir-e-salam rehna bhee alamat-e-takabbur hai

3. jab nisbat-e-shaikh ata ho jati hai to foran usi waqt nisbat maa'ALLAH bhee ata ho jati hai. yani shaikh k ghar walo aur us se nisbat rakhnay walay har shakhs ka aqlan ehtram karnay lagay to phir nisbat maa'ALLAH ata honay may der naheen lagti

kibr ki tareef

kibr ki tareef hadees pak may ye bayan ki hai k "jo haq baat ko na manay aur logo ko haqeer janay" yani haq baat ko na mannay wala mutakabbir hai

ittefaq ki jar tawazo hai

Hazrat haji imdadullah mahajir makki r.a. ne farmaya k "ittifaq ki jar tawazo hai" yani agar har banday may tawazo ho gee to apas may ittifaq aur ittihad ho ga, lekin agar har banda apni akar aur takabbur may ho ga to kya khak ittifaq ho ga

khushu aur istaghraq may farq

log chahtay hain k namaz may mustaghraq ho jain, namaz may shariat ne khushu ka hukum dia hai na k istaghraq ka. khushu aur istaghraq may farq hai. khushu ikhtiari hai jab k istaghraq (gharq ho jana) ghair ikhtiari hai. agar istaghraq ka hukum hota to shariat ka wo hukum kesay poora hota k agar admi namaz may ho aur kisi ki jan khatray may ho to namaz tor kar pehlay us ki jan bachaey

tableegh naam hai laganay ka aur laga wohi sakta hai jis k khud lagi ho

Tableegh naam hai laganay ka aur laga wohi sakta hai jis k khud lagi hui ho. Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "unwanaat ka asaar may bara dakhal hai" yani agar makhlooq ka dard dil may ho ga to un ki zaroorat aur kefiaat ko dekhtay huay hikmat k sath apni dawat ka unwaan qaim karay ga, kyoon k unwan ka bohat asar hota hai. ghisay pitay unwaanaat se aksar dawat be-asar ho jati hai.

Hazrat Shah Abrar-ul-Haq sb. r.a. ne farmaya k "kaar-e-deen batareeq-e-deen ho" aur farmaya k "Nakeer bila tehqeer ho". Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "Ghuloo k sath dawat denay may samnay walay ko gharz ka shubha ho sakta hai" Aur Quran pak may bhee sarahat se jagah jagah aya hai "Ay Nabi Alaihissalam aap is k darpay na hon k in ko hidayat ho he jaey"

jesay aik sahab ko maut se bohat dar lagta tha to Hazrat wala ne ye unwan qaim farmaya k "k is dunia ki aarzi zindagi akhirat ki daimi zindagi se musafa karnay wali hai" ab dekhain is may maut k bajaey zindagi ka tazkara bhee ho gya aur samajh bhee agya.

hadees pak mazmoon hai k "jo logo k halaat ko naheen janta wo jahil hai" yani sub ko aik he lakri se hankna hikmat k khilaf hai.

isi tarha Europe may hazrat wala ne akhirat k tazkaray ka ye unwan qaim kya k "pardes may tazkira-e-watan" ab kyoon k jo log wahan par reh rahay thay un ko jab watan ka tazkira milay ga to watan ki muhabbat aur yad aey gee aur yahan watan se murad hazrat wala ki watan-e-akhirat tha. logo k mizajon ki shariat ki hudood may riaayat rakhna Aap sallallah-o-alaihi wasallam ki sunnat thee

ronay wala mehroom naheen rehta, mangnay wala mardood naheen hota

Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "jis shakhs ko jis cheez ka khof ho ga to maut k waqt us cheez se us ki hifazat ki jaey gee aur jis cheez ki umeed ho gee wo us ko ata kar dee jaey gee"
aik buzurg farmatay hain k "mangnay wala mehroom naheen rehta aur ronay wala mardood aur zaya naheen hota"

rona mubarak to hai lekin ye rona ALLAH k k lye ho, khali ronay se bhee kaam naheen chalta jab tak k himmat kar k amal na karay.

ronay walay to moharram may bohat rotay hain
kya faqat ashk bahanay he se kaam chalta hai?

maal de kar jaan bacha lena aur jaan de kar eemaan bacha lena

Hazrat wala ne aik usool taleem farmaya k "maal de kar jaan bacha lena aur jaan de kar eemaan bacha lena" Hazrat thanvi r.a. ne bhee aik sher usool k tor par taleem farmaya k

jab do moozion may ho khat pat
to apnay bachnay ki fikr kar jhat pat

phir farmaya k sukoot aur sukoon k sath alaihida ho jaey

sohbat ka asar matboo par naheen tabay par hota hai

sohbat ka asar matboo par naheen tabay par hota hai. tabay yani jo logo k ma-teht ho aur matboo yani jis k log tabay hon. isi lye Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k duniadaron se jab milo to matboo ban kar na milo tabay ban kar milo, warna un ki sohbat se mutassir ho jao ge.

- sara jahan khilaf ho parwa na chahye
pesh-e-nazar to marzi-e-janana chahye
phir us nazar se jaan k ye kar faisla
kya kya to karna chahye aur kya kya na chahye

- jahan jatay hain hum tera fasana chher detay hain
koi mehfil ho tera rang-e-mehfil dekh letay hain

awam ko gunah yad karna mufeed aur salikeen ko yaad karna muzir hai

Hazrat Thanvi r.a. ne aik tehqeeq bayan farmai k "salikeen k lye apnay puranay gunahon ko sochna muzir hai, jab k awam k lye mufeed hai, kyoon awam to jitna sochain us se tawajjo ilallah he ho gee, lekin salikeen jab sochtay hain to sheta mayoosi ki taraf le jata hai. phir in gunahon ki bhee 2 qismain hain:
1. jahi
2. bahi

Salikeen ho ya awam jahi (ghussa, kibr, ujub, bad-gumani, hasad, gheebat etc.) gunahon ko to jitna zyada sochain ye muzir naheen kyoon k is se apni himaqat he mustehzar ho gee, lekin bahi (shehwani) gunahon  ko agar zyada sochay ga to nafs mazay lenay lagay ga aur phir gunah may mubtila honay ka andesha hai. lihaza jab banda toba kar chuka to ab jab bahi gunahon ka agar khayal aey sheta k chakkar may na aey aur us taraf tawajjo na karay, kyoon k ALLAH tala ki maghfirat aur rehmat par yaqeen rakhay"

nekiaan yad rehti hain gunah yaad naheen rehtay

Hazrat zulfiqar naqshbandi sb. ajeeb baat farmatay hain k "humain apni purani purani nekiaan to khoob yad rehti hai lekin apni buraiyaan bhool jatay hain, logo ki chand baaton par foran phool jatay hain"

maloomaat aur mamoolaat may farq / maqbooliat aur qabliat may farq

Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "waqai jab tak nafs naheen mit'ta to apni he maloomaat mamoolaat may tabdeel naheen hoteen". ilm se kya hota hai, ilm to shetan k paas bhee bohat hai, ALLAH se maqbooliat maango aur maqbooliat ka rasta ittiba-e-sunnat hai, gunah chhoray aur amaal ki pabandi karay. Hazrat wala ne farmaya k ilm k lye to taqwa shart naheen hai, lekin taqwa k lye sohbat-e-ehlullah shart hai. kyoon k ilm mat barkat 2 cheezon se ati hai:
1. taqwa
2. adab
boaht se log qabil to hotay hain maqbool naheen hotay aur bohat se maqbool hotay hain lekin qabil naheen hotay aur bazay qabil bhee hotay hain aur maqbool bhee hotay hain

Namaz may khushu na ho na bhee to aik gunah hai

Namaz may khushu na ho na bhee to aik gunah hai. Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k khushu naam hai harkat-e-fikria k inqita ka. Yani jesay he namaz may fikr muntashir ho foran us soch ko munqata kar de, bus khushu hasil ho gya. Jesay k namaz may jesay he khayal kahee chala gya to foran halka sa ye soch le k "bhai namaz may khushu na hona bhee to gunah hai" inshaALLAH chand din
mashq se namaz may khushu hasil ho jaey ga

Jab toheed kamil ho jati hai to sabr bhee kamil ho jata hai

1. Jab toheed kamil ho jati hai to sabr bhee kamil ho jata hai. ya yoon keh lo k jab sabr kamil ho jata hai to toheed bhee kamil ho jati hai

2. Quran pak ki ayat ka mazmoon hai k "jo ALLAH par bharosa kar leta hai to ALLAH tala us k lye kafi ho jata hai"

3. Quran pak ki ayat ka mazmoon hai k "jab azm kar lo to phir ALLAH par bharosa rakho"

4. logo k hath may jo kuchh hai us se apnay ko mayoos kar lo, ye hai toheed

na de sakeen lalach tujh ko sikkon ki jhankarain
tere dast-e-tawakkul may hain istaghna ki talwarain

faryad-e-muztarib aur dil-e-shikista

1. Hamara markaz-e-umeed-e-rehmat aap ka dar hai
kisi k dar pay to ya-RUB ye peshani naheen jati
kabhee mushkil may bhee parta hai akhtar to bihamdillah
khuda k fazl se ummeed-e-pinhani naheen jati

2. agarchay pur-khata hai par kahan jaey tera banda
teray dar par tera banda ba-umeed-e-karam aya

3. Haq paraston ki agar ki tu ne diljoi naheen
tana daingay but k muslim ka khuda koi naheen

4. kya nazar na mujh par dali jaey gee
kya meri faryad khali jaey gee

5. mayoos na hon ehl-e-zameen apni khata se
taqdeer badal jati hai muztar ki dua se

iraday aur tamanna may farq

iraday aur tamanna may farq hai. iraday may saee yani koshish bhee karta hai. ALLAH k rastay may admi irada karay, mehz tamanna se kaam naheen chalta aur nijat nahee milti

zahanat aur aqalmandi may farq

kafir zaheen to hotay hain magar aqalmand naheen. zahanat aur aqalmandi may farq hai. aqalmand anjam been hota hai. Hazrat thanvi r.a. se kisi ne kaha k Gandhi jee bohat aqalmand hain poora Quran parha hai aur naat bhee kahi hai. Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k aqalmand naheen balkay intehai chalak admi hai, aqalmand hota to eeman lata

ALLAH tala k rastay may ghair mukhlis naheen chal sakta

ALLAH tala ne apnay rastay ko khooni kar k dikhaya (k raah-e-taqwa may ye ye gham atay hain)m us ki waja ye hai k ghair mukhlis aur mukhlis logo may farq ho jaey, ghair mukhlis log is rastay may qadam na rakhain aur un par hujjat tamam ho jaey aur ALLAH k ashiq aur mukhlis logo ki tareekh raqam ho jaey. isi lye ikhlas se bhee ooncha aik maqam hai aur wo hai riza-bil-qaza yani ALLAH ki riza par razi rehna

jo aghaz he may fikr-e-anjam hai
tera ishq shayad abhee khaam hai

masaaib may ye sochay k ye haalaat mutanabbeh karnay k lye aey hain

masaib aur mushkil halaat may ye na sochay k ye mere gunahon ki saza hai, k ye ALLAH tala se aik tarha ka soo-e-zan hai. balkay ye sochay k ye halaat mujhe mutanabbeh karnay k lye bhejay gaey hain. shetan saza k khof dila kar ALLAH se bad-guman kara kar ALLAH se mayoos deta hai. jab k agar ye sochay k mutanabbeh karnay k lye ye halaat aey hain to islah ki taraf tawajjo bhee ho gee aur rujoo ilallah bhee ho ga

nisbat maa'ALLAH ki alaamaat

nisbat maa'ALLAH k lawazim may se hai:

1. sahoolat-e-itaa'at (yani gunah se bachna aur naik amaal karna asan ho jaey)
2. huzoor-e-daaim (har waqt ALLAH ka istehzar rehna)

aksar dawam-e-zikr hasil honay se log ye samajhtay hain k sahib-e-nisbat ho gaey, halan k nisbat moqoof hai gunah chhornay par.

har waqt ALLAH tala ka istehzar to batil firqay walon ko bhee mashq karnay se hasil ho jata hai. ye mustaqil istehzar nisbat maa'ALLAH naheen balkay malaka-e-yad dasht hai. (yani yaad rehnay ka malaka). malaka-e-yaaddasht k sath gunah jama ho sakta hai lekin nisbat maa'ALLAH k sath gunah jama naheen ho sakta. isi lye khali istehzar kafi naheen, gunah chhorna asal hai.

sahib-e-nisbat ho janay k baad ye naheen k gunah he naheen ho sakta. balkay matlab ye hai k awwal to aulia ALLAH masoom to naheen hotay albatta mehfooz kar dye jatay hain lekin agar gunah ho bhee gya to gunah par dawam naheen reh sakta yani gunah par qaaim naheen rahay ga, jald tofeeq-e-toba naseeb ho jaey gee. Hazrat wala ne farmaya k Arif Billah se bhee zina ho sakta hai lekin phir us ki toba bhee Arif ki toba ho gee, yani ro ro kar sajda gaah ko tar kar de aur arsh ko hila de ga, aur jab tak ro ro kar mana naheen le ga jab tak chayn se naheen bethay ga.

nisbat isi ka naam hai, nisbat isi ka naam
un ki gali se aap nikalnay na paye

fitno k waqt haq ko pehchannay ka tareeqa

imam ibn-e-temia ne farmaya k jab haq wazay na ho raha ho to haq ko pehchannay ki alamaat may se aik ye bhee hai k sari dunia k teeron ka rukh dekh le kis taraf hain. Quran pak may Allah tala ne fermaya k "beshak ALLAH k nazdeek deen sirf islam he hai". bohat se log kehtay hain k "inshaALLAH islam ghalib ho kar rahay ga" ulema ne ye farmaya hai k "yahan inshaALLAH kehna durust naheen. Islam ka to Aap sallallah-o-alaihi wasallam ne pehlay he se bata dya hai k ghalib ho kar rahay ga" lihaza ye kahay k "beshak islam ghalib ho kar rahay ga"

taweez may aik tarha ka istaghna hai

Taweez may aik tarha ka istaghna hai. log chahtay hain k taweez k baad bus kaam hona he chahye aur jab na ho to parishan hotay hain. isi lye sunnat tareeqa ye hai k salat-ul-hajaat parh kar dua karay. dua se aajzi paida hoti hai k ya ALLAH mera ye kaam kar dain aur taweez may admi tawaqqo le kar ata hai k kaam hona he chahye jis se phir dua naheen karta aur jo k istaghna ki
soorat hai. sahab galay may taweez naheen talwarain latkaya kartay thay. hamaray akabireen to is lye taweez de detay hain k log amal k lye tayyar hotay naheen bus taweez mangtay hain aur agar na milay to jali peeron k paas phansnay ka andesha hota hai. isi lye sunnat amal salat-ul-hajaat aur dua he hai jo aaj musalmano ne chhor dee hai.

hasad ki taareef

Hasad ki tareef:

1. ALLAH ki taqseem par razi na rehna (yani us ko dya mujhe kyoon na dya ya us ko itna dya mujhe itna kyoon na dya)

2. kisi ko koi nemat hasil ho to us k zawal ki tamanna karna ye bhee hasad hai

3. kisi k aish-o-aram ko dekh kar dil ko sadma, ranj aur jalan hona aur us ki nemat k zawal ki tamanna karna, ya us k aish-o-aram k khatam ho janay par khush hona bhee hasad hai.

4. kisi ki nemat dekh kar dil may ye tamanna karna k mujhe bhee mil jaey to is may harj naheen ye "rashk" ya "ghibta" kehlata hai

5. hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "kisi dost ya dushman k zawal-e-nemat se under se dil khush ho to agarchay bazahir is se izhar-e-afsos bhee kya aur aqlan hasad ko bura bhee janay, phir bhee choon k under ki khushi ghair ikhtiari honay se gunah bhee naheen lekin haalat nuqs ki hai, is ka ilaj batakalluf karay"

Hasad ka ilaj

Hasad k ilaj:

1. jis se hasad ho us ko salam may pehl karay
2. safar par jab jaey to mulaqat kar k jaey
3. safar se wapsi par hadya laey, balkay aksar hadya deta rahay
4. apni majalis may us ki tareef karay
5. us ki koi burai karay to sakhti se mana kar de aur himayat karay
6. us k lye khoob dua karay
7. kabhee kabhee us ki dawat kar de (nashta, chaey, khana) jo bhee hasb-e-istitaa`at ho

8. inshaALLAH is par amal karnay se hasad ka ilaj ho jaey ga aur agar ilaj na kya to sub nekiaan zaya ho jaingee. kyoon k hadees pak may hai k hasad nekion ko is tarha kha jata hai jesay aag sookhi lakrion ko jala kar rakh kar deti hai"

9. ye sher bhee hasad k ilaj k lye mufeed hai:
Hasad ki aag may kyoon jal rahay ho
jehannum ki taraf kyoon chal rahay ho
Khuda k faislay se kyoon ho naraz
kaf-e-afsos kyoon mal rahay ho

maal aur jaan may barkat ka nuskha

maal ALLAH ki raah may lagta hai to wo maal mehfooz ho jata hai aur barkati ho jata hai. jesay jis maal par zakaat de dee jati hai to baqi maal pak aur mehfooz bhee ho jata hai aur barkat alag ati hai. isi tarha jab jaan ALLAH ki raah may lagti hai to jan bhee mehfooz ho jati hai. aur jan may barkat ati hai. ALLAH ki ata ki hui jan ALLAH he se bachai to esi jaan par halakat ati hai aur phir ghut ghut kar zillat ki maut marta hai. isi lye Hazrat wala ne Hazrat Meer sahab ko jo aik dafa takya rakh baith rahay thay zameen par takay zameen na chubhay to farmaya k "Meer sahab ALLAH k rastay may apnay aazaa ko mazboot rakho". Hazrat wala ne farmaya k ALLAH ki raah may jan ki bazi lagana ye sher mardon ka kaam hai jab k sust ho kar beth jana ya mujahiday se bachna ye lomree ki sifat hai.

adawat deen ko moond deti hai

Hadees pak ka mazmoon hai k "adawat deen ko moond deti hai" yani jab kisi se adawat (keena aur dushmani) hoti hai to admi kuchh naheen dekhta, apni deendari ka bhee lihaz naheen karta aur bus inteqam k lye deen ko bhee pas-e-pusht daal kar dil ki bharas nikalta hai. wo apnay har kameenay pan may shariat se daleel nikalnay ki koshish karta hai. Is ka shaikh batata hai k tumharay amal kitni nafsaniat hai. isi lye musleh ka hona bohat he zaroori hai. kyoon k beemar ki raey bhee beemar he hoti hai

ashiq-e-sifaat, ashiq-e-ehsan aur ashiq-e-zaat

aik hota hai ashiq-e-sifaat, aik hota hai ashiq-e-ehsan aur aik hota hai ashiq-e-zaat. Aashiq-e-sifaat to wo hai jis ko sirf sifaat se ishq hai, jesay kisi ko Razzaq ki sifat se is lye ishq hai k us ko khoob rizq mil raha hai. Aur ashiq-e-ehsan wo hai k jab nemat mil gai to khoob ashiq ho gya aur na mili to shikwa-o-shikayat shuru, ye to be-wafa, matlab ka yar hai. aur aik hota hai ashiq-e-zaat, yani jis haal may bhee wo rakhain un ki zaat par ashiq hai. nemat dain jab bhee razi aur agar wapis le lain ya na dain tab bhee razi. esay log har haal may ALLAH tala se muhabbat kartay rehtay hain. kyoon k jis k dil may ALLAH hota hai us k dil ka zarf bhee ALLAH tala bohat bara banatay hain. Ashiq-e-zaat be-wafa naheen hota, wo har haal may ba-wafa hota hai

jab ibadat adat bun jati hai to ikhlas k qareeb ho jati hai

jab ibadat adat bun jati hai to ikhlas k qareeb ho jati hai. Riya naam hai dikhaway ka. Makhlooq ki khatir koi amal karna ya makhlooq he ki waja se chhor dena dono riya hain. Agar aik admi roz parhnay ka aadi hai aur aaj koi dost aa gya to is khof se naheen par raha k wo dekh le ga to ye waswasa-e-riya hai riya naheen. riya naam hai iraday ka. yani irada aur niat hai dikhanay ki k banda dekh le ya samajh le kisi tarha. warna agar sirf khayal aa raha hai lekin niat naheen dikhanay ki to riya naheen sirf riya k waswasa hai. lihaza waswasay ki waja se apnay mamool k amaal na chhoray. Jesay aik admi roz namaz may 3 bar tasbeehaat parhta tha, lekin aik din jab seth aa gya to 7 dafa parhnay laga takay seth bohat naik samjhay aur paisa barha de to ye riya hai. lekin aik banda jo rozana ishraq ka paband hai aur aik din jab seth aya to dil may is khayal se k seth na dekh le wo amal chhor deta hai to ye riya naheen waswasa-e-riya hai.  Gharz ye k makhlooq k lye na to amal karay aur na he us ki waja se amal ko chhoray. Bus amal kye jaaey, jab adat ho jaey gee to ikhlas k qareeb ho jaey ga

roab aur wehshat may farq

Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "Roab wohi hai jo muhabbat k sath ho warna to wehshat hai" yani jis se muhabbat hoti hai usi ka dil may roab hota hai, warna thanay dar ka khof, saanp ka khof to hota hai lekin us ki azmat dil may naheen hoti. kyoon k muhabbat jo azmat k sath ho wohi moatabar hai

dikhawa aur numaish hubb-e-jah aur ujub ki waja se hota hai

dikhawa aur numaish hubb-e-jah aur ujub ki waja se hota hai. jab k mutakabbir jannat ki khushboo bhee na soongh sakay ga. Hazrat wala ne farmaya k nemat ko mehz ALLAH ki ata samajho apna kamal na samjho. Hazrat wala ne farmaya k agar taraqqee ka madaar maal, izzat aur hukoomat par he hota to Qaroon, Hamaan, Shaddad, Namrood Ambia alaihimussalam se zyada taraqqee yafta huay. Doosri baat ye k shukr karay. kyoon k shukr aur may ye baat poshida hai k ye ALLAH ki ata hai yani mai is ka bhee mustahiq naheen tha. jo apnay ko mustahiq na samjhay aur ALLAH ki ata samjhay to phir kibr kahan hua. apni taraf se nazar hut gai aur ALLAH tala ki taraf nazar ho gai. isi lye jo shukr se kibr khatam hota hai aur ALLAH tala se uns aur muhabbat barhti hai jab k takabbur se wehshat barhti hai. kyoon k mutakabbir ko jo nemat hasil ho us se zyada ka apnay ko mustahiq samajhta hai aur shukr naheen karta, na-shukri karta hai. isi lye shukr aur kibr may tazaad hai. jo shukr karta ho ga wo mutakabbir naheen ho ga aur jo mutakabbir ho ga wo na-shukra ho ga.

mushkilaat ka hal ALLAH ki taraf rujoo karna hai

Hazrat Eesa a.s. se un k aik hawari ne sawal kya k "agar koi lagataar teer par teer barsa raha ho us k teeron se bachnay ka kya hal hai? to Hazrat Eesa a.s. ne farmaya k mai apnay ALLAH se poochh kar bataoonga. to ALLAH tala ki taraf se un par wahee aai k Ay Eesa us ko ye jawab do k jo teer barsa raha hai us k qareeb ho jao (yani us k paas aa kar kharay ho jao to un teeron ki bochhar se bach jao ge)" Hazrat wala ne farmaya k:

balaain teer falak kamaan hai
chalanay wala shehnshah hai

yani ye masaaib aur parishanion ka hal ye hai k jahan se ye parishaniaan aa rahi hain us k qareeb ho jain to sub parishanion se bach jaaingay aur un se nijat hasil ho jaey gee. Parishani ka hal ye hai k jis (ALLAH) k hukum se parishani aa rahi hain us k qareeb ho jain aur us ko razi kar lain, jis ka tareeqa ye hai k gunah chhorain aur naik amaal ki pabandi karain.

na-mawafiq haalaat par sabr karnay se tawazo paida ho jati hai

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "logo ki muhabbat aur hujoom se andesha tha ujub k anay ka, ALLAH ne khansi de dee, ab har waqt khansta he rehta hoon".  is se pata chala k baaz dafa ilm, ibadaat se ujub-o-kibr paida ho jata hai jis k lye koi gham ya parishani de kar us ka ilaj kar dya jata hai. isi lye Hazrat wala ne farmaya k "nemat ka shukar ye hai k dimagh kharab na ho" Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "na-mawafiq haalaat par sabr karnay se tawazo paida ho jati hai"

jesay beemari se aksar aajzi aa jati hai kyoon k quwat ka ghumand naheen rehta, isi tarha kisi ne mizaj k khilaf ki to ab agar zabt kara to us se tawazo paida ho gee

Aqal aur Eeman k ilawa kefiaat ki amad-o-raft rehti hai

Aqal aur Eeman k ilawa har cheez ki amad-o-raft rehti hai" kefiaat, kashf waghaira sub atay jatay rehtay hain sirf aqal aur eeman mojood rehtay hain. yani aqal hoti hai k shariat-o-sunnat ko samajh kar amal karain, aur doosri baat ye k kefiaat chalay janay se log samajhtay hain k hum mardood ho gaey, maloom naheen eeman ka kya hua, esa naheen hai, eeman mojood rehta hai, wo kefiaat khatam hoti hain. isi lye kefiaat k anay janay se parishan nahee hona chahye, amal may lagna chahye.

be-sabri, uljhan, jhunjhalahat ka ilaj

kaam karnay k usool hain, jesay agar koi kaam shuru kya aur atak gya to usi taraf dihaan lagaey he na rakhay balkay dihan kisi aur jaiz kaam ki taraf laga de warna be-sabri uljhan paida ho gee aur dil mushawwish rahay ga. jesay drive kar raha hai aur signal band ho gya to ab musalsal usi taraf he dihan ko na lagaey rakhay k signal kab khulay ga ya signal kyoon naheen khul raha, is bajaey itna arsa zikr karta rahay, takay be-sabri na ho aur sawab alag

asbab-e-khushi se khushi mehsus karna to kafir bhee jantay hain

asbab-e-khushi se khushian mehsoos karna to kuffar balkay janwar bhee jantay hain, maslan kuttay billi bhee gosht k chheechray dekh kar khush ho jatay hain lekin baghair asbab-e-khushi k khushi k khushia urana aur haqiqi-o-daaimi bahar lootna ye aulia ALLAH ka he hissa aur unhee ka naseeba hai.

dushmano ko aish-e-aab-o-gil dya
doston ko apna dard-e-dil dya
un ko sahil pay bhee tughyani mili
hum ko toofano may bhee sahil dya

dunia k gham se tamanna-e-maut alamat-e-wilayat naheen

tamanna-e-maut alamat-e-wilayat may se hai lekin ye us waqt hai jab k wo liqa-e-mola (yani k mola ki mulaqat k shoq) k lye ho, warna dunia k ghamon se ghabra kar maut ki tamanna karna alamat-e-wilayat naheen, ye to mayoosi hai. islam may khud-kushi haram hai. kyoon k hamari jaan hamari apni milkiat naheen ALLAH ki amanat hai isi lye humain apni jan ko dunia ki khatiq halak karnay ka haq hasil naheen.

ab to ghabra k ye kehtay hain k mar jaingay
aur mar k bhee chayn na paya to kidhar jaingay

lekin jab jihad ka moqa ho to ab yahan par ALLAH ka hukum samajh kar apni jan ALLAH k hawalay kar de.

jis ne mehz samaraat k lye itaa'at ki us ne samaraat ki itaa'at ki

jis ne mehz samaraat k lye itaa'at ki us ne samaraat ki itaa'at ki. amal ALLAH ki riza k lye karay  duniavi samaraat k lye naheen. haan jannat bhee aik samra hai is ki niat se amal karay. lekin afzal yehi hai k ALLAH ki riza ki niat ho. Hazrat Haji Imdadullah Mahajir Makki r.a. farmatay hain k kaam par nazar chahye samara par na chahye. (samra yani phal ya nateeja). bohat se logo par samraat murattab naheen kye jatay, k itaa'at chhor daingay

rizq ki fikr aur makhlooq ka khof - ALLAH se hijab ka sabab

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k 2 cheezain admi ko ALLAH se hijab may rakhti hain:

1. khof-e-makhlooq
2. Fikr-e-rizq

bad-gumani ka khayal dil may anay se bad-gumani naheen hoti

bad-gumani ka khayal dil may anay se bad-gumani naheen hoti, haan agar us ko dil se sahee bhee jaana to ab bad-gumani ho gee aur gunah milay ga, warna waswasa-e-bad-gumani hai bad-gumani naheen

jis ne ALLAH ki muhabbat na seekhi wohi dunyavi gham se pagal hua

jinhon ne ALLAH ki muhabbat naheen seekhi wohi dunyavi ghamon se pagal huay. ALLAH tala k siwa kisi se esa garha talluq na rakho k agar wo talluq khatam ho jaey to gham se pagal ho jaain. ALLAH walay is lye pagal naheen hotay kyoon k ALLAH tala hameesha sath hai judai naheen hai. jab k duniavi rishtay aik na aik din juda ho jatay hain jis gham hota hai. lihaza bv, bachon se muhabbat karay aur huqooq bhee ada karay lekin itni zyada muhabbat k agar chhoot jain to gham se pagal ho jain jaiz naheen. bv bachon aur maal ki muhabbad shadeed bhee jaiz hai lekin ashad muhabbat ALLAH ki ho, yani bv bachon ki 49 bhee jaiz hai lekin 51 ALLAH ki ho. Aaj tak kisi waliullah ne khudkushi naheen ki aur jinhon ne ki us ko ALLAH ki muhabbat aur dosti hasil he naheen hui thee, dhoka ho gya tha. Lihaza ALLAH se har haal may razi rehna esa he farz hai jesay namaz roza.

sabar ki qismain

sabr ki 3 qismain hain:

1. ibadat may sabr: yani jo faraaiz, wajibaat aur sunnat-e-muakkida hain un may agar susti mehsoos ho to himmat kar k ada karay aur apnay nafs par sabr karay

2. gunahon par sabr: yani jab koi gunah ka moqa aey to apnay nafs par sabr karay aur gunah na karay. jesay sood ya haram khanay ka moqa aey to esi rozi par laat maar de ya bad-nazri ka taqaza ho to himmat kar k nazar bacha le, aur nafs par sabr kar k ALLAH k rastay ka gham uthaey

3. museebaton pay sabr: yani jab koi museebat aey to ghabraey naheen aur mayoos na ho, ALLAH se razi rahay aur dua karta rahay.

rozana ALLAH ki rehmat ka intezar karna afzal ibadat hai kyoon k huzn (gham) khud aik bohat bara mujahida hai. jab in 3 baaton par sabr karay ga to phir ALLAH ka wada hai k esay sabr karnay walo k sath ALLAH hai. aur jis k sath ALLAH (jo sub se bari super power hai) ho us ko ghabranay ki kya zaroorat hai. Hazrat wala ka sher hai k:

jo gham k sath ho tum bhee
to phir ghar ka kya gham hai

bohat see baatain mehsoos karnay se ehm maloom hoti hain

bohat see baatain mehsoos karnay se ehm maloom hoti hain halan k itni ehm hoti naheen hain. lihaza mehsoos na karo aur hassas na bano. jesay bv ka rukh phair lena. is ko bohat zyada mehsoos naheen karna chahye. bv k sath apnay huqooq may ashiqana raho (jesay koi kaam naheen kar rahi to maaf kar do, rooth gai to khud hee mana lo...) lekin shariat k mamlay haakimana raho (jesay bv kahay k tasveer wali shirt, ya plastic k kuttay billi walay khilonay lanay ki farmaish karay to ye na mano). baqi agar is k ilawa kisi aur baat par agar bv ne naraz ho kar rukh phair lya aur phir jawab may aap ne bhee moo phair lya to aap ne shetan k lye darwaza khol dya. shetan ko khush honay ka moqa mat do aur Hadees pak may hai k "aurat terhi pasli ki hai in ko seedha karo ge to ye toot jaingi" aur aik aur hadees may hai k "ye aurtain kam aqal hoti hain". Lihaza in ki baaton ko maaf kar dena chahye, ye naheen k ye baat naheen karti to mai bhee baat nahee karoonga. bhai jahan bv itnay kaam tumharay karti hai wahan kabhee agar wo naraz ho gai to maaf kar do aur mana lo aur pyar karo. wo bhee to apna ghar baar, behn bhai, maa baap chhor kar aai hai aur tumhari har khidmat karti hai. lihaza ye mat socho k us ne mujhe naheen manaya to mai bhee naheen manaoonga aur seedha kar doonga. ye shetan ki bohat bari chaal hoti hai.

haseen larkon ko dekhna gunah hai haram hai

Hazrat wala ne farmaya k be-darhi moochh walay larko ko mat dekho. Hadees pak ka mazmoon hai k "amrado ko mat dekho, in k chehron may hooron ki jhalak hai" amrad kehtay hain esay larkay ko jis k darhi moochh na aai ho aur agar aa bhee gai ho lekin us ki taraf kashish mehsoos hoti ho aur melaan hota ho. lihaza esa larkon ko dekhna jaiz naheen. Aik buzurg farmatay hain k aik larki k sath aik sheta hota hai jab k aik larkay k sath 18 shetan hotay hain. Hazrat wala ne farmaya k kis tarha pata chalay k jis larkay se dosti hai us se nafsani talluq hai ya ALLAH k lye muhabbat hai us ki pehchan ye hai k jis se nafsani talluq ho us ki aik pehchan ye bhee hai k us k sath kabhee khuab may bhee gunah kartay dekhay ga. londay bazi bohat he bad-mashi ka gunah hai. ALLAH tala ne is gunah k karnay walon ki poori basti ulat dee thee. aur farmaya k ulti is lye thee kyoon k ye aurton ko chhor kar ulta kaam kartay thay.

husn-e-fani ki haqeeqat

Hazrat wala ne farmaya k ye haseen sub fani hain aik din sub mitti may mil kar khak ho jaingay. in k peechhay apni zindagi ko barbad na karo. Hazrat wala ka sher hai:

kisi khaki pay mat kar khak apni zindigani ko
jawani kar fida us par k jis ne dee jawani ko

aur farmaya:

gobar ki tashtari par chandi ka waraq hai
white color k husun se dhoka na khaye
(yani in sub haseeno k under goo moot k ilawa aur kuchh naheen jis par dunia mar rahi hai)

khak ho jaingay qabron may haseeno k badan
arzi dilbar ki khatir rah-e-payghambar na chhor
in k distumper ki khatir rah-e-payghambar na chhor

ye sub haseen mitti hain bus rang barangay distumper kar dye hain jis se log dhoka kha rahay hai. dunia bhee kharab aur akhrat bhee kharab

bad-kari se bachnay walay ko arsh ka saya milay ga

Hadees pak ka mazmoon hai k jis ko koi hasab-nasab wali khoobsoorat aurat kisi mard ko gunah ki dawat de aur ye mard jo quwat bhee rakhta ho lekin phir bhee ALLAH k khof se gunah na kya to qayamat k din ALLAH tala esay jawan ko Arsh ka saya ata farmaingay

gunahon bad-nazri aur haram kari k taqazon ka ilaj

1. Na Chit kar sakay nafs k pehlwan ko
to yoon haath paaoon bhee dheelay na dalay
aray is kushti to hai umer bhar ki
kabhee wo daba le kabhee tu daba le

2. jo nakam hota he rahay umer bhar bhee
behr haal koshish to ashiq na chhoray
ye rishta muhabbat ka qaaim he rakhay
jo 100 baar tootay to 100 baar joray

3. hum ne tay keen is tarha se manzilain
gir paray, gir kar uthay, uth kar chalay

4. bohat go walwalay dil k humain majboor kartay hain
teri khatir galay ka ghontna manzoor kartay hain
(ya "teri khair ye khoon-e-arzu manzoor kartay hain")

yani agar haram khuahishat ka taqaza ho to apni haram arzuon ka khoon kar do lekin ALLAH ko naraz na karo. apnay dil ko khush kar k ALLAH tala ko na-khush mat karo. ghair shareef hai wo banda jo apnay dil ko khush karta hai lekin ALLAH ko naraz karta hai. lihaza ALLAH ko razi karnay k lye apni arzuon ka khoon kar k gham-e-hasrat utha lo lekin un ko naraz na karo.

5. tabiat ki raw zor pay hai to ruk
warna ye had se guzar jaey gee
zara der ko tu hata le khayal
ye naddi charhi hai utar jaey gee

6. dil ki manoon ya khaliq-e-dil ki
dil k agay ye sawal rakha hai

gunahon (bad-nazri) k taqazon ka ilaj

Hazrat wala se kuchh no-jawano ne South Africa may kaha k aaj sahil-e-samandar par larkiaan aa rahi hain aur raqs ho ga. to Hazrat wala ne un ko aik sher farmaya:

us ne kaha come here
mai ne kaha no please
us ne kaha kya waja
mai ne kaha khof-e-khuda

aik buzurg farmatay hain k:

dil ki maanoon ya khliq-e-dil ki
dil k agay ye sawal rakha hai

apnay nafs par bharosa mat karo

Hazrat wala ne farmaya k apnay nafs par bharosa mat karo. 100 saal k bhee ho jao tab bhee aitibar na karo.

bharosa kuchh naheen is nafs-e-ammara ka ay zahid
farish bhee ye ho jaey to is se bad-guman rehna

baaz dafa nafs khud he sawal karta hai aur khud he jawab deta hai jesay k "naheen yar mai gunah ki niat se ye naheen dekh raha, ya mai to kuchh aur dekhna chahta tha waghaira." ye sub nafs ki chalain hain. dil ka har waqt inspection kartay raho k is may shetan kaheen ghairullah ka injection to naheen laga raha jis se rooh ka may infection ho jaey

hamaray nafs-e-ammara jab daam-e-butaan badla
to hum ne bhee baab-e-taqwa par foran pasban badla

yani dil par jo gateman muqarrar kya tha k nafs ki nigrani karay wo dushman se mil gya, ab khud he apnay sawalat ka jawab de raha hai.

jesay aik admi ne Hazrat wala se kaha k mai to har larki ko nikah ki niat se dekhta hoon. Hazrat wala ne farmaya k ye sub nafs ki chaal hai. kisi bhee niat se dekhna jaiz naheen. Na-mehram ko dekhna he haram hai chahay kisi bhee niat se dekhay, beti, behn, maa samajh kar ya kisi bhee niat se naheen dekh saktay. aik sahab ne Hazrat wala se kaha k Hazrat mera to dil saaf aur nazar pak hai. aur mai falan larki mujh se pakeeza muhabbat karti hai. Hazrat wala ne farmaya k aik din in ko akela chhor do phir dekho in ki pakeezgi k hangamay.

Hazrat wala ne farmaya k Hazrat Ali r.a. se zyada kis ki nazar aur dil pak ho saktay hain lekin Aap Sallallah-o-alaihi wasallam Hazrat Ali r.a. ko farma rahay hain k "Ay Ali! pehli nazar jo achanak par jaey wo maaf hai doosri naheen". to jab Hazrat Ali r.a. ko mustasna naheen farmaya to hum kon hotay hain ye kehnay walay k dil pak nazar saaf hai. Hazrat wala ne farmaya k jis ki ankh napak ho gee us ka dil bhee napak paleed ho ga

tamanna-e-gunah bhee haram hai

tamanna-e-gunah bhee to haram hai. yani ye sochna ya kehna k "Ay Kash agar wo mil jati ya mil jata to yoon toon karta" ye bhee haram hai. Tehqeeq-e-husn aur tafteesh-e-husn mar karo, warna gunah ho jaey ga. Tehqeeq-e-husn se murad k "larka hai ya larki" aur tafteesh-e-husn ye hai k "kali hai ya gori, kam khoobsoorat hai ya zyada khoobsoorat etc." Hazrat wala ne farmaya k:

na gori ko dekh na kali ko dekh
usay dekh jis ne inhain rand bakhsha

asbab-e-gunah se agar door na rahay to bach naheen saktay. ye ALLAH ki muhabbat aur ishq-o-mastiaan usi waqt tak ki hain jab tak asbab-e-guna se doori hai, jesay he asbab samnay atay hain to phir koi malfooz yaad naheen ata. sheta mismerism karta hai, 4 anay k husn ko 16 ana kar k dikhata hai, ghair mehram aurton par zyada light marta hai. isi lye asbab-e-gunah se 3 tarha ki doori ikhtiar karo:

1. aankh se doori k haseeno ko mat dekho

2. dil se doori, yani k dil may gunahon k khayalat ko mat pakao (na mazi k khayal la kar dil may mazay lo aur na mustaqbil ki koi scheme banao)

3. jism k aitibar se bhee doori ikhtyar karo. Hazrat wala ne farmaya k gunah k moqay par jis ki firar kamzor ho gee wo zaroor qarar karay ga. isi lye haseeno se door bhago aur ye sher parho:

jab wo agaey samnay na-beena bun gaey
jab wo hut gaey samnay se beena bun gaey

husn-e-fani pay agar tu jaey ga
ye munaqqash sanp hai dus jaey ga

nazar bazi mamooli gunah naheen

nazar bazi agar mamooli gunah hota to Aap Sallallah-o-alaihi wasallam is ko zina na farmatay. hadees pak hai k: "ankhon ka zina hai nazar bazi" aur Quran pak may hai k "Ay nabi Sallallah-o-alaihi wasallam aap momineen ko farma deejye k apni baaz nigahon ko neecha rakhain" aur aik aur hadees pak may aap Sallallah-o-alaihi wasallam ne esay khabeeson k lye bad-dua farmai k "laanat ho esay shakhs par ko bad-nigahi karay aur apnay ko dikhaey" yani na nazar bazi karay aur na he bun sanwar kar apnay ko kisi haseen k samnay nazar bazi k lye pesh karay ya apnay ko dikhaey.

jo karta hai tu chhup kar ehl-e-jahan se
koi dekhta hai tujhe asmaan se

nazar k chor k sir par naheen hai taj-e-wilayat
jo muttaqi naheen hota usay wali naheen kehtay

bad-nigahi se to eeman may kami ati hai
rafta rafta kabhee eeman  bhee chala jata hai

nagawar halat k baghair insan ALLAH se rujoo naheen karta

aam qaida ye hai k na-gawar halaat k baghair dunia se be-raghbati paida hoti naheen hai. lihaza har kaam may ALLAH ki hikmat hoti hai.

kisi ko ALLAH de kar azmata hai kisi se le kar azmata hai

aik buzurg fermatay hain k bohat se logo ko ALLAH de kar azmata hai aur bohat se logo se le kar azmata hai. de kar azmaish zyada sakht hai kyoon k jab nemat milti hai to log ALLAH ko bhool bethtay hain jab k nemat agar le lee jaey to admi ALLAH ki taraf rujoo ho jata hai. isi lye jab ALLAH tala se koi nemat mangay to us ka tahammul bhee mangay. kyoon k jinhon ne tahammul se barh kar maang lya aur phir us ko nibha na sakay to ya to ruswa ho gaey ya sakht azmaish may par gaey.

kisi ko denay may maslihat hai aur kisi ko na denay may

Hadees pak ka mazmoon hai k "bohat se log esay hain k jinhain ALLAH de de to wo kafir ho jain aur bohat se log esay hain k agar jin se ALLAH le lain to wo kafir ho jain" yani kuchh ko ALLAH detay hain kyoon k agar le lya to un k under sabr aur bardasht aur tahammul kam hota hai kufr buk dain. aur kuch ko detay he naheen k agar de dyato abhee is k under nemat ka zarf na ho ga aur nemat may mashghool ho kar ALLAH tala ko bhool jaey ga. ALLAH tala mizajon k khaliq hain k kis ko dena hai aur kis ko naheen dena. jis ko naheen dya us ko ALLAH se razi rehna chahye aur mayoos na hona chahye kyoon k ALLAH tala us ko riza ka maqam dena chahtay hain. esay logon ko aik zamana mujahida karaya jata hai takay razi reh kar ALLAH ki muhabbat dil may rasikh ho jaey aur jab nemat milay to nemat denay walay ko na bhoolain aur bandgi ka zawiya qaim rahay. Jin logon ne sabr kya wo siddiqeen k maqam tak ponhch gaey.

Taqwa may mushkil us waqt tak hai jab tak k himmat nahee kartay

Taqwa may mushkil us waqt tak hai jab tak k himmat nahee kartay. Jab himmat kar lo ge to taqwa asan ho jaey ga. ALLAH tala ne taqwa farz farmaya hai lekin farz karnay se pehlay himmat bhee dee hai. Agar ALLAH taqwa (gunahon se bachnay) ka hukum detay aur himmat na detay to ye zulm ho jata. aur ALLAH tala zulm se pak hain. jesay baap bachay ko rozana 1 kilo doodh peenay ka kahay lekin doodh na provide karay toye zulm hai. Jab baap doodh ka kehta hai to us se pehlay laa kar bhee deta hai

gheebat ka ilaj

Hazrat wala ne farmaya k jahan gheebat ho wahan se foran uth jao. aik sahab ne Hazrat wala se arz kya k Hazrat! jahan mai tha wahan gheebat ho rahi thee lekin wo hazraat mujh se baray thay mai un k samnay kesay uth'ta, to Hazrat wala ne farmaya k kitnay he baray hon ALLAH se baray naheen. Jahan ALLAH ki na-farmani ho wahan aik lamha rukna jaiz naheen. jis tarha gheebat karna gunah hai isi tarha sunna bhee gunah hai. jo gheebat karay to us moqay par jin ki gheebat ki ja rahi ho us ka defence karna wajib hai warna gheebat sunnay ka gunah ho ga aur wo bhee utna he shadeed hai. Gheebat k waqt ya to ye kahay k "naheen wo esay naheen wo to bohat achhay hain" ya ye keh kar rok de k "bhai ye gheebat ho rahi hai mujhe takleef hoti hai" is se un ki bhee ankhain khulaingee. aur agar is ki bhee taqat naheen to uth jana wajib hai, chahay kitna he baray hon ALLAH se bara naheen. jesay ye khayal hai k wo bura na maan jaain isi tarha ye khayal ho k ALLAH bura maan jaingay

maklooq ki itaa'at ki khatir khaliq ki na-farmani jaiz naheen

Hadees pak ka mazmoon hai k "la-taa'ata li-makhlooqin fil-maa'siat-il-khaliq" yani "makhlooq ki itaa'at k lye khaliq ki na-farmani (maa'siat) jaiz naheen"

isi lye agar walidain bhee shariat k khilaf gunah ka hukum dain to un ki itaa'at jaiz naheen, adab se mana kar de k mai ye naheen kar sakta. jesay darhi mundanay ka hukum dain, ya sharai parday se mana karain, ya TV dekhnay ka ya ghar se nikalnay ka mana karain, ya bv esay kapray ya khilonay ghar may lanay ka kahain jis may jandar ki tasveer ho to esay moqay par un ki baat na manaain. isi tarha jab JIHAD farz-e-ain ho jata hai to ab makhlooq ki itaa'at k lye khaliq ki  nafarmani jaiz naheen. kyoon k tamam huqooq may sub se pehla haq ALLAH ka hai

Hubb-e-jaah ye hai k "meri izzat ho" ya "meri izzat kam na ho".

Hubb-e-jaah ye hai k "meri izzat ho" ya "meri izzat kam na ho". Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "tawaqqo tazeem ki na rakhay makhlooq se" aur ajeeb baat farmai k "ye jaah ka marz bhee zalim aam ho gya hai, log chahtay hain k koi hamari burai he na karay". Barai ka khayal to dil may aa sakta hai jo k ghair ikhtiari hai, lekin is ka aqli ilaj ye hain k:

1. nemat ko mehz atia-e-khudawandi samajh kar shukr karain

2. aqlan ye sochain k mai tamam musalmano se kamtar hoon fil haal aur tamam kafiron aur janwaron se kamtar hoon fil-ma'aaal (yani anjam k aitibar se) kyoon k iman ka daromadar khatmay par hai. Apnay ko aqlan bura aur haqeer samjhay chand din is ikhtiari mashq se ilaj ho jaey ga.

3. Jab admi apni nazar may achha hota hai to ALLAH ki nazar may bura hota hai aur jab apni nazar may bura hota hai to ALLAH ki nazar may achha hota hai khul gai jab se chashm-e-baseerat...apni nazron se khud gir gaey hum

ashiqon ka tareeqa

1. Ashiqon may mera naam likh jaey ga...apnay aamaal par gar nadamat rahay

2. Deen jis ka hai usi par aasra akhtar karo...kaam jis ka hai usi par apni sub fikron ko chhor

(Shaikh-ul-Arab Wal-ajam Arif Billah Hazrat-e-Aqdas Hazrat Maulana Shah Hakeem Muhammad Akhtar Sahab d.b.)

is ummat ki pehli burai = kanjoosi aur lambi lambi umeedain

Hadees pak ka mazmoon hai k "pehli bhalai is ummat ki zohd aur yaqeen hai aur pehli burai is ummat ki bukhul aur tool-ul-amal hai"

zohd = dunia se be-raghbati hona
bukhul = kanjoosi
tool-ul-amal = lambi lambi umeedain baandhna

rahat k nuskhay

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k:

1. Umeed ho gee to aur zyada taa'aat may lagay ga aur muhabbat ho gee to mayoos nahee ho ga

2. jo bhee haal ho us ko samjhay k sub se behtar haal hai, bus yehi rahat ka nuskha hai

3. istighfar k 2 faiday hotay hain, aik to gunah maaf hua, doosra zikr likha jata hai

hamari talab bhee ALLAH tala he k karam ka sadqa hai

Hazrat wala se aik sahab ne arz kya k "Hazrat! shayad meri talab ko rehm aa gya aur deen par le aaey!" hazrat wala ne farmaya k "bhai ye unwan sahee naheen, balkay ye kaho k un k karam ka sabab bhee un ka karam he hai, aur un ki rehmat ka sabab bhee unhi ki rehmat hai, hamari talab is qabil kahan"

meri talab bhee un k karam ka sadqa hai

us shakhs may khair naheen jis k ikhlaq achhay naheen

Hadees pak ka mazmoon hai k "us shakhs may khair naheen jo logon se muhabbat naheen karta aur jis se muhabbat naheen ki jati" is hadees may pehlay us ka zikr hai k jo logon se muhabbat naheen karta, Hazrat wala ne farmaya k is se pata chala k pehlay tum muhabbat karna shuru kar do to log tum se khud bakhud muhabbat karnay lagaingay

ehl-e-khof aur ehl-e-muhabbat ka farq

logon ki 2 qismain hoti hain:

1. ehl-e-khof
2. ehl-e-muhabbat

ehl-e-khof ki misaal esi hai k jesay kisi gari may petrol na ho aur us ko dhakka laga kar chalaya jaey. jab k agar gari may petrol ho to khud he dor paray gee. na sirf khud chalay gee balkay auron ko bhee bitha kar le jaey gee. ehl-e-khof ko gunahon k nuqsanat aur azab se dara kar dhakka lagana parta hai, jab k agar ehl-e-muhabbat bun jaain aur muhabbad ka petrol dil k engine may dul jaey to phir dara kar dhakka laganay ki zaroorat na paray, khud he dor niklay. isi lye ehl-e-muhabbat bannay ki dua mangni chahye. kyoon k ehl-e-muhabbat murtid naheen hotay. Shareef admi to wo hai jo baghair danday k khof k kaam karay

har tajweez baqa-e-nafs ka dawa hai

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "har tajweez baqa-e-nafs ka dawa hai" yani jab tak tajweez baqi hai, ye alamat hai k nafs abhee zinda hai. Tajweez ye hai k apni raaey ko baqi rakhna. jesay k mera kaam esa ho, ya mujhe esa ghar esi gaari esi beevi milay waghaira...ye sub tajaweez hain. jab k is k bar-aks apnay har deeni aur duniavi maamlaat ko ALLAH k supurd kar dena TAFWEEZ kehlata hai. Yani k yaqeen se to jo mangna hai wo maangay lekin jab tak na milay to razi rahay. Mutlaq tajweez na karay, yani zid na karay k yehi milay us ka baaz auqat nuqsan hota hai. jis ki misaal Hazrat Thanvi r.a. ne is tarha dee k "rail ka phatak band ho aur koi gateman se zid karay k khol do, aur wo mana kar raha hai k naheen dekho train anay wali hai, lekin wo na manay, phir us ki zid karnay par aur usi ki zimmay dari par gate khol dia to rail aai aur us se wo cut kar mar gia" isi tarha ALLAH tala bhee jantay hain k falaan cheez kis ko deni hai aur kis waqt deni hai, har cheez ki zid na karay k bus yehi milay balkay ALLAH k supurd kar k mangta rahay

sahib-e-nisbat honay ki alaamaat

Jab admi aik martaba sahib-e-nisbat ho jata hai to phir dubara ghair sahib-e-nisbat naheen hota. jis ki misaal Hazrat Thanvi ne ye dee k "phal paknay k baad dubara kachcha naheen ho sakta, haan magar taghayyuraat aa saktay hain" jesay taba'an haalaat se mutassir ho kar tabiat may kuchh taghayyur aa gya, ya bar-bina-e-bashriat koi gunah ho gya waghaira. Sahib-e-nisbat se bhee gunah to ho sakta hai lekin gunah par dawam naheen rehta, yani gunah par qaaim naheen reh sakta, jald tofeeq-e-toba ho jati hai. Hazrat wala ne farmaya k Arif billa se bhee zina ho sakta hai lekin us ki toba bhee Arif ki toba hoti hai, wo ro ro kar arsh-e-azam ko hila deta hai. Aulia ALLAH masoom naheen hotay lekin mehfooz kar dye jatay hain.

Nisbat isi ka naam hai nisbat isi ka naam
un ki gali se aap nikalnay na paaye
(Hazrat Shah Muhammad Ahmed Sahab Partabgadhi r.a.)

apni deeni khidmaat ka izhaar nafs ki chaal aur riya hai

Hazrat Thanvi r.a. k paas aik sahab aey aur apni deeni khidmaat bayan keen k itnay madarsay chal rahay hain, itni hadees ki kitabain parhata hoon waghaira... Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "apnay deeni karnamay tafseel k sath bayan karna kayd-e-nafs hai" to unhon ne arz kya k "hazrat! dua k lye?" to Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "us k lye to ikhtisar he kafi hai"

molvion ko maaliaat may naheen parna chahye

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "molvion ko maaliaat may naheen parna chahye, ye maal esi cheez hai k jald badnami ho jati hai"

aur farmaya k "mamooli taqwa walon ko maali maamlaat may naheen parna chahye". Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "maal-daaron se talluq rakhnay may go hubb-e-dunia  na bhee ho tab bhee bara mufsida hai"

Hazrat Maulana Ashraf Ali Thanvi r.a. k malfoozaat

Hakeem-ul-ummat Hazrat Maulana Ashraf Ali Thanvi r.a. k malfoozaat:

1. Talab-e-riza bohat he quwat ki cheez hai

2. Jab riza maqsood ho to phir kisi cheez ka khof naheen rehta

3. Tashweesh ikhtiari muzir hai ghair ikhtiari muzir naheen. Ikhtiari tashweesh se dil may bashashat naheen rehti, aur bashshat na honay se talluq maa'ALLAH ghat'ta hai

4. zikrullah se latafat bhee ati hai aur bashashat bhee.

5. madar-e-azam kamyabi ka talab-e-riza hai (yani dunia aur akhrat ki kamyabi ka sub se bara madar riza-bil-qaza par hai, hum chahtay hain k ALLAH tala hum se razi ho jain, lekin hum un se razi hotay naheen. agar banda ALLAH se razi hai ye alamat hai ALLAH tala bhee is se razi hain)

Ajeeb Dua

ALLAH tala badshahon k badshan, humain apnay darbar may bulain, aur hum jain, aur wo khud he hum se mangwaain k maango aur hum un se maangain (kyoon k un ki tofeeq k baghair banda maang bhee naheen sakta, yani ALLAH tala jo cheez dena chahtay hain usay wo cheez mangnay ki tofeeq de detay hain, mangwana alamat hai k dena bhee hai). Aur phir mangwanay k baad hamari jholiaan khali reh jain aur hum kahli hath lot jaain, ye to un k shan aur karam aur sakhwat k bhee khilaf hai. kyoon k duniavi badshah bhee agar khud kahay k maango kya mangtay ho! to phir deta hai, khali hath bhejnay ko apni shan k khilaf samajhta hai. Wo jab detay hain to apni shan k mutabiq aur hamari auqat se bohat barh kar detay hain. jesay Hatim Tai se kisi miskeen ne beti ki shadi k lye bartan mangay to Hatim ne bartan may khana pakwa kar dia. Yani sirf bartan he naheen dye balkay khana bhee dia. ye to dunia k sakhi ka alam hai phir ALLAH tala ki sakhawat ka kya alam ho ga

shukr aur kibr may tazaad hai

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "shukr aur kibr may tazad hai". jo shakhs shukr karta hai wo mutakabbir naheen hota. shukr karnay ka matlab yeh hai k jo nemat hasil hai us ko 'mehz' atia-e-khudawandi samjhay. to jab ALLAH ki ata samjhi to apni taraf se nazar hut gai. aur ye ain tawazo hai. Jab k mutakabbir na-shukra hota hai, apnay ko nemat ka mustahiq samajhta hai aur na-shukri karta hai k mai to is se zyada ka mustahiq tha. lihaza apnay ko ehl samajhna kibr hai. hindustan may jis zamanay may log tezi se murtid ho rahay thay to us waqt Hazrat Thanvi r.a. ne irtidad se bachnay ka nuskha farmaya tha k jo mojooda eeman hasil hai us per shukr karain. kyoon k nemat par shukr se nemat aur barhti hai

4 alaamaat-e-maqbooleen

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k alamaat-e-maqbooliat 4 hain:

1. Aqaid sahee hon
2. amaal ki pabandi ho
3. gunahon se ijtinab ho
4. dunia ki muhabbat dil may na ho

jis may ye 4 alamaat hon wo inshaALLAH ALLAH k haan maqbool hai

Museebat k waqt ye sochain ALLAH HAAKIM hai HAKEEM hai

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k 2 cheezain museebat k waqt yad rakhay kabhee bhee dil ko parishani naheen ho gee aur sari zindagi rahat se guzrnay ka nuskha hai:

1. ALLAH tala "HAAKIM" hain, hum us ki milk hain, aur malik ko apni milk may har qisam k tasarruf ka haq hasil hai. lihaza agar museebat aey to razi rahay. wo jesay chahain hamaray lye karain.  pooray sulook ka hasil riza-e-Haq hai.

2. ALLAH tala "HAKEEM" hain, yani k har kaam may un ki koi hikmat zaroor hai. lihaza masaib may yehi sochay k jo takleef aai us may zaroor koi na koi hikmat poshida hai

kasb-e-halal farz hai lekin hirs-e-halal marz hai

Kasb-e-dunia to kar par hawas kam rakh
is per tu lekin deen ko muqaddam rakh
denay lagta hai dhuaan ye chiragh bhee
ik zara is ki lau ko to madham rakh

(Hazrat khuwaja Aziz-ul-Hasan Majzoob r.a.)

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "kasb-e-halal to farz hai lekin hirs-e-halal baqaida aik marz hai". Hirs-e-halal ki waja se pehlay mashghooliat barhti hai jis ki waja se aamaal, zikr-o-tilawat chhoot'tay hain, aur jab aamaal chhoot'tay hain to rooh kamzor ho jati hai aur nafs mota ho jata hai. aur jab nafs mota ho jata hai to gunahon k sudoor shuru ho jata hai. phir gunah jab barh jatay hain to eeman ko khatra honay lagtahai

kabhee takabbur basoora-e-tawazo hota hai

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k kabhee takabbur basoora-e-tawazo hota hai. yani tawazo karta hai is lye k log hum ko bara samjhain. Alamat ye hai k tawazo k baad log izzat-o-takreem na karain to bura manta hai

mustaqbil k soch-o-bichaar may naheen parna chahye

aik sahab ne Hazrat thanvi r.a. se kuchh mashwara chaha jis ka taalluq mustaqbil baeed se tha. Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "mai ne tajarba kya hai k admi ko esay mustaqbil k soch-o-bichar may na parna chahye. ye esa silsila hai k ta-zeest is se nijat mushkil hai, agar admi is k peechhaypar jaey to pagal bun jaey. bus rahat isi may hai k jo waqay hota jaey ya us ka wuqoo ghalib ho to us ka haq ada karta rahay"

matlab ye k mustaqbil k kisi bhee khayal may na paray, chahay wo rizq se mutalliq ho ya deen se mutalliq k kaheen mai gunah may mubtila na ho jaaoon waghaira. in khayalat ki parwa na karay warna nijat mushkil hai aur banda pagal ho jaey.

Hazrat molana room farmatay hain k "maazi-o-mustaqbilat...parda-e-khuda ast". yani mazi aur mustaqbil ki soch ALLAH k rastay ka hijab hain

tabaee khof muzir naheen aqli khof muzir hai

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "aik hota hai Tik hota hai aqli khof. tabi khof to muzir naheen jesay sanp bichhu ka khof, lekin aqli khof ye hai k ghar k under betha hai, bahir kutta bhonk raha hai, darwaza bhee band hai, kundi bhee lagi hui hai phir bhee dar raha hai. ye apna paida karda ikhtiari khof hai jo k muzir hai

Tashweesh ikhtyari muzir naheen ghair ikhtyari muzir hai

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k tashweesh ghair ikhtiari muzir naheen ikhtiari muzir hai. jesay koi parishani aa gai to dil ko tashweesh ho sakti hai lekin aqlan yehi sochay k jo ALLAH ne chaha wo hua aur jo ALLAH chahay ga wo ho ga. taqdeer par eeman laey. kyoon eeman-e-kamil k sath parishani (aqli) jama naheen ho sakti. tabai parishani ghair ikhtyari hai jo k muzir bhee naheen.

Monday 25 April 2011

wehm ka ilaj

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k wehm ka ilaj mukhalifat hai. yani ji wehm dil may aey us ki mukhalifat karo

Hazrat Thanvi r.a. ki Dua

Hazrat Thanvi r.a. ki dua: Ay ALLAH hum se to gunah chhoot'tay naheen, aap apni rehmat ko hum par band mat keejye ga

Dua

Aik ALLAH walay ki dua: ay ALLAH kya teri rehmat k khazanay khatam ho gaey hain jo tu humain maaf naheen karay ga aur toba bhee qubool naheen karay ga. Ay ALLAH hamaray mangnay se agar tere khazano may kami ati hai to tu na de, aur kami naheen ati to phir be-hisab ata farma, aur us may khair bhee daal de, aur us nemat ka hum ko tahammul bhee ata farma. Ay sattar-ul-uyoob is dunia k samnay mujhe kabhee ruswa na karna warna in ko bolnay ka aur tana denay ka moqa milay ga k in ka sunnay wala koi naheen!

eeman-e-kamil k sath parishani jama naheen ho sakti

eeman-e-kamil k sath parishani jama naheen ho sakti. jab sabr kamil ho jata hai to tauheed bhee kamil ho jati hai. parishani hoti hai khilaf-e-tawaqqo se aur ehlullah ne to apni tawaqqoaat ko khatam he kar dala. Hazrat gangohi r.a. farmatay hain k dunia may is tarha raho jesay tanha ho. siwa-e-ALLAH tala k kisi se bhee umeed aur tawaqqoaat ko wabista mat rakho ye hai tauheed

badgumani se dil napak ho jata hai

badgumani se dil ka bartan ganda ho jata hai to esay dil may ALLAH kahan se aaingay. logon k uyoob se nazar hata lo, warna dil ki hifazat kahan hui

ghaflat aur jehl ka ehsas insan ko bacha leta hai

ehsas-e-ghaflat ghaflat se nikal de ga aur ehsas-e-jehl jehl se nikal de ga

muwahhid kon hai

muwahhid wo hai jis k sir par talwar rakh dee jaey aur payron may khazanay daal dye jaain to na us ko khof ho ga aur na laluch. jo kuchh logo k paas hai us se apnay ko mayoos kar lo


na de saki lalach tujh ko sikkon ki jhankarain
teray dast-e-tawakkul may hain istaghna ki talwarain

apnay maal ko zakaat de kar mehfooz kar lo

apnay maal ko zakat de kar mehfooz kar lo, aur pani jaan ko jihad may laga kar mehfooz kar lo

dua k baad wo cheez na milnay ki waja

ALLAH tala k haan to bukhul naheen, haan jo naheen milta hum us k qabil aur ehl naheen hotay. lekin aik baat hai k jab wo denay per aain to qabil bhee bana detay hain

jab gharz ajati hai to hunar chhup jata hai

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k jab gharz ajati hai to hunar chhup jata hai

shikwa shikayat ki waja

admi shikwa shikayat bhee is lye karta hai k apnay ko nemat ka mustahiq samajhta hai, halaan k un ki inayaat bohat aur pakar bohat kam hai haqeeqat may to hum aik bhee nemat k mustahiq naheen, mehz un ka karam hai. Kareem k meanings hain k jo na-laaiqon per apna fazal kar de

hamaray under naz paida honay ki waja

Hamaray under jo naaz paida ho gya hai us ki waja ye hai k wo (ALLAH pak) girift nahee fermatay. warna agar baat baat per girift honay lagay to apni sub heqeeqat wazay ho jaey

Friday 1 April 2011

Shetan chahta hai k ALLAH tala ki taraf tawajja na ho

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "Shetan chahta hai k kisi bhee tarha Tawajjo-ilal-haq na ho. kisi na kisi tarha dil ko kisi kaam ya tashweesh may mashghool rakhta hai aur ALLAH tala ki taraf tawajja naheen honay deta"


ALLAH ki taraf se tawajja hatanay wali tashweeshaat

1. maheena khatam ho raha hai aglay maheenay k kharch ka intezam kahan se ho ga, ab kaam ki soch yani tawakkul se hata kar faltu soch may laga dya

2. raat ko leta hai duain bhee parh leen aur phir bhee soch may lagaya hua hai k kaheen jin na charh jaey

3. interview de kar aya ab tadbeer k baad nateejay ki soch may laga dya maloom naheen kamyab ho ga ya na-kaam, halan k husn-e-zan ki soch se to faida hota aur is faltu soch se kuchh bhee faida nahee

4. khana khaya, dua bhee parh li thee, baad may shuker bhee kar lya, phir bhee soch raha hai k bimar na ho jaun, hazam ho ya na ho, tawajjo ilal-haq se hata dya

5. jihad may hai aur soch raha hai k zakhmi na ho jaun, ya qaid na ho jaun, ye ghair ikhtiari soch may daal dya aur husn-e-zan ki raah se soch hata dee

6. koi marz ho gya, dawa bhee kar li, ab soch raha hai k maloom naheen shifa ho gee ya nahee, ab yaqeen ki soch se hata kar ALLAH se bad-gumani per laga dya

7. hasideen paida ho gaey ab isi soch may hai k nuqsan na ponhcha dain, ALLAH per tawakkul se soch hata dee

8. gari signal per phans gai ab isi may be-sabri ho rahi k kab khulay ga, halan k ye ghair ikhtiari hai, itni der zikr kar le jis se faida bhee ho, us se hata kar ghussay may laga dya

9. bura khuab dekh lya ab parishan ho raha hai k kya ho ga, halan k sunnat amaal yani taooz parh kar karwat badal kar so jaey, faltu taraf se tawajja hata kar ALLAH ki taraf rakhay

10. nekian kar k samraat k intezar may hai k kab samaraat murattab hongay, samray per nazar na chahye amal per chahye.

11. mustaqbil ki soch ne parishan aur pagal kar dya k kal kya ho ga, halan k ALLAH per bharosay ki soch se to faida hota, is ghair ikhtiari cheez ki soch se kuchh hasil na hua, bus ALLAH se tawajjo hut gai

12. koi gunah ho gya, ya koi nuqsan ho gya to isi soch may hai k kyun hua, halan k toba-o-istighfar se gunah maaf ho gya aur nuqsan may ye sochay k ALLAH HAKIM hain aur HAKEEM hain, HAKIM hain yani hum un ki milk hain wo jo chahay karain aur HAKEEM hain yani un k har kaam may koi hikmat aur hamara faida zaroor hai

gunahon per tambeeh

Jab kaha mai ne k ya ALLAH mera haal dekh...hukum aya mere banday naama-e-aamaal dekh!

Museebat may shikayat mat karo

Museebat ki shikayat mat karo is se ALLAH naraz aur shetan khush hota hai. Us shakhs ki hajat jald poori hoti hai jo apni hajat kisi aur insan ko naheen batata

Hasad se door raho

Dil ka sukoon chahtay ho to hasad se door raho

Dua

Ay ALLAH Ay aftab-e-izzat, hamary zillat k andheron per apni izzat ki kuchh shuaain daal deejye. hamaray haal per rehm farmaye. Ameen!

kareem ki ata

Apni ata ki barishain kar de mere kareem
Aya hoon tere dar pay hujoom-e-khata k sath

Muztarib bunday ki faryad

jab tak bacha wesay he mangta rehay to baap sunta to hai lekin taal deta hai k "achha achha de daingay" lekin jesay he bacha tarap kar kar ro parta hai to phir maan baap ka kaleja phat jata hai, phir bardasht naheen kartay aur ye naheen kehtay k "de daingay" balkay usi waqt  foran de detay hain. hamari bhee bus ALLAH se mangnay mau kami hai k hum wesa naheen rotay aur mangtay jesa k ro kar maangna chahye

Pur Umeed jumla

Jitna jaldi RUB razi hota hai itna jaldi koi razi naheen hota.

Mayoosi kufr hai

ALLAH tala se badguman ho jana aur mayoos ho kar thak jana gunah-e-kabeera aur kufr hai. Jis ALLAH ne bachpan se le kar itna bara kar dia, itni nematain barasta raha aur hai to wo kya ab humain chhor de ga. Sabr aur tawakkul karo. Dil se khushi se us mehboob malik se razi ho jao, to sub kuchh he mil jaey.

Maqam-e-Riza

Ye dunia chand din ki hai is ki khatir ALLAH se badguman na hona na us ko chhorna. Sabr karnay walay k lye sirf akhirat he naheen dunia k inaamaat intezar kar rahay hain.

Maqam-e-Fana

Ay ALLAH gawah rehna mai tujh se har haal may razi ho gya hoon, ay mere mehboob malik tujh per mere dil jan maal aabru sub kuchh fida. Tujh se barh kar kuchh pyara naheen. Bus mujh se razi ho jana

Fana

Ay ALLAH aap kya pyaray hain k aap per dil bhee aur aap per jaan bhee fida

Dua

Ya ALLAH aap ka karam to khud kamzoron ki talash may hain. humain to batanay ki bhee zaroorat naheen. Mere paas waqt kam hai aur ab sirf aik saans baqi hai. Is akhri saans per to rehm farma deejye aur bacha lain, ay eeman walo ki akhri umeed hamari umeedon ko mat kaatye, ay be-baso k malja-o-mola, gawah rehna mera tere siwa koi naheen. mujhe akela na chhorna aur dunia k hawalay na karna.

Dua

Ay ALLAH mai ne to socha tha k deen par aunga to dunia aur akhrat dono bun jaingee, ya ALLAH mai azmaish k qabil naheen, is lye dunia may bhee mushkil na de. Mai to baray dil se tere deen ki taraf aya tha, lekin is dunia ki parishanion ki waja se kaheen gir na jaoon. Mai gir gaya to dunia daron ko hansnay ka aur ungli uthanay ka moqa mil jaey ga. Anay deen ki laaj rakh le. aap shakoor yani qadardan hain, meri tooti phooti nekian qubool kar lain aur dunia aur akhrat dono may izzat dain. Takay dunia dar kabhee deendaron ko tanay na dain balkay hamari misaal dekh kar aur bhee log deendar bun jaain.

Dua

Ya ALLAH aik kamzor shakhs sachi niat k saath aap k deen per chalna chahta hai lekin dunia ki mushkilat rukawat bani hui hain. Mai jesa bhee hoon lekin hoon to aap he ka bunda na! jesay Govt. k kisi kaam may laga hua ho to khud Govt. ki zimmaydari hoti hai k us k lye benifits de aur us k har kaam may rukawat ko door rakhain. Hum bhee aap k nabi (sallallah-o-alaihi wasallam) k ummati hain aap k deen par chalna chahtay hain. Apnay deen par chalnay may hamari aur is raah may dunia ki parishanion ko na anay dain takay tere deen par sukoon se chal sakain.

Dua

ya ALLAH teri ik nazar ho jaey gee, meri zindagi ka sawal hai. Humain azab de kar aap ko to koi faida naheen hota. aap baray zarf walay hain, maaf karna to aap ko pasand hai na k saza dena. bus aap apna mehboob kaam karain yani maaf farma kar apni ataaon ki barishain kar dain

Dua

Teri ik nazar ho jaey gee, meri zindagi ka sawal hai. Ay ghairat walay malik dikha de in dunia daaron ko k deen par chalnay wala nakaam naheen hua karta aur ab apni shan k mutabiq in ko jawab de kar in dunia walo k moo bund kar de. Gawah rehna ay malik mai apni kamzori aap ko bata chuka hoon, aur aap ki tofeeq se aap ko apna RUB maan chuka hoon. Ab tu apni qudrat dikha aur apnay waday pooray farma.

Dua

ya ALLAH mai be-bus hoon teri itni qudraton k khazanay honay k bawujood. Ay ghayyur aur sakhee malik jis ko apnay khazanay khatam honay ka andesha naheen, apni qudrat aur rehmaton k khazanay khol deejye

Tamam Asbab Khatam Ho Janay k baad Dua!

Jab zameen pay na ho tadbeer-e-zamaan
kyun na jaey aah soo-e-asmaan

(Sheikh-ul-Arab Wal Ajam Arif Billah Hazrat-e-Aqdas Hazrat Molana Shah Hakeem Muhammad Akhtar Sahab Damat Barkatuhum)

faryad-e-muztarib

Kya Nazar na mujh par dali jaey gee
kya meri faryad khali jaey gee? !!!

Eemaan walon ki umeed

Hamara markaz-e-umeed-e-rehmat aap ka dar hai
kisi k dar pay to ya RUB ye peshani naheen jati
kabhee mushkil may bhee parta hai Akhtar to bihamdillah
khuda k fazl se ummeed-e-pinhani naheen jati

(Sheikh-ul-Arab Wal Ajam Arif Billah Hazrat-e-Aqdas Hazrat Molana Shah Hakeem Muhammad Akhtar Sahab Damat Barkatuhum)

Ashiq-e-Sadiq

Agar aap hain sadiq apnay iqrar-e-muhabbat may
talab khud kar lye jaingay darbar-e-muhabbat may

Dua

Ay ALLAH jis tarha koi shadeed zakhmi hospital may ata hai to emergency may doctor sub ko chhor kar us ki taraf mutawajja ho jata hai, isi tarha ya ALLAH hum bhee gunahon se zakhmi  aur intehai toota hua dil le kar aap k dar par aaey hain, hum emergency k mareez hain hum par apni khas tawajja farmaye aur fori madad bhejye warna hum halak ho jaingay

Dua

Ya ALLAH teri ghairat ye kesay gawara kar sakti hai k jo tere samnay jhukay wo dunia k samnay jhuk jaey paray. Hum jesay bhee hain lekin hain to aap k he. Ay eemaan walo ki akhri umeed hamari umeed ko mat kaatye. ay wo zaat k jis ko hamaray gunahon se nuqsan naheen ponhchta, bus humain maaf  kar dain aur dunia k hawalay na karain. Be shak aap kareem hain aur na-laaiqon per fazal karnay walay hain.

Dua

Ya ALLAH ye sir hameesha tere samnay jhukta hai, agar aap ne hamari hajat ko poora na kya to kaheen hum dunia walon k samnay ghutnay na taik dain. Ya ALLAH to apnay samnay jhuknay walo ko kya dunia k hawalay kar de ga?  Ya ALLAH mai kamzor hun kaheen gir na jaaon, kaheen bhatak na jaaoon. Agar aaj gir gya to phir shayad kabhee na uth sakooonga. Teri madad ki mujhe foran zaroorat hai. Jis tarha chhota bacha chalnay lagta hai, to jesay he girnay lagay hai to baap barh kar utha leta hai, sambhaal leta hai. Mai bhee girnay laga hoon utha mere mola.

Dua

Ya ALLAH aap ne farmaya k mujh se maango mai doonga, to isi lye hum aap se maang rahay hain. Aur aap ne farmaya k tum mujh se jesa guman karo ge mai wesa he maamla karoonga. to aap k farman k mutabiq hum aap se apni dunia aur akhirat k baray may intehai aalaa guman kye huay hain. aur beshak aap to hamaray guman se bhee barh kar rehm karnay walay aur nawaznay walay hain.

Dua

Ya ALLAH hum jo bhee kuchh mangtay hain wo aap ki tofeeq se mangtay hain. Yani jo cheez aap ko deni hoti hai to wo cheez aap us se mangwana shuru kar detay hain. Kyun k agar aap ko dena na hota to mangwatay he kyun. is lye ab jo hum aap se maang rahay hain us ko denay may der na keejye. hum to na-laiq hain aap ko khush na kar sakay, lekin aap to hamari taraf se har khushi se be-niaz hain. is lye jo aap ki shan k laaiq hai aap wo karain aur apni shan k mutabiq sub kuchh ata farma dain