Wednesday 18 May 2011

nafs-e-ammara, nafs-e-lawwama, nafs-e-mutmainna, nafs-e-raazia marzia

nafs-e-ammara wo hai jo bohat gunah karata hai. magar jis par ALLAH ki rehmat hoti hai wo bacha rehta hai. jab admi ko apnay gunahon par nadamat honay lagay to ab wohi nafs-e-ammara nafs-e-lawwama may badal jata hai. phir aik waqt esa ata hai k gunahon se wehshat honay lagti hai aur sirf ALLAH he ki baat aur ALLAH he ki yaad se itminan milta hai, ye alamat hai hai k ab nafs-e-mutmainna hasil ho gya. aur phir jab nafs-e-mutmainna hasil hojta hai to akhir may maut k waqt basharat dee jati hai k ay jaan ALLAH tujh se razi ho ja. bus wo nafs-e-raazia marzia ho kar ALLAH ki taraf khushi khushi jata hai

Tuesday 17 May 2011

Tafweez aur bandagi

tafweez maanay apnay ko ALLAH k supurd kar dena aur tajweez yani apni raey ko baqi rakhna jo k baqa-e-nafs ki alamat hai
 
Muraqba-e-Abdia-Tafweezia:
1. Haq tala ka agar mujh par mustaqbil may koi esa tasarruf hua k jaan bhee jati rahay to khair-e-mehz ho gee yani ain rehmat ho gee.

2. Tajweez k baad agar matlooba cheez hasil ho bhee jaey to wo cheez to hasil ho jaey gee lekin qurb aur riza naheen milay gee. jis ki misaal esay he hai k namaz to parh li lekin wuzu naheen kya, yani matlooba cheez to hasil ho gai lekin riza naheen mili

3. tadabeer bhee dimaghon may wohi daltay hain. jab un ko razi kar lya jaey to tadbeer bhee esi dalaingay k jis may falah he ho gee. isi lye dua se bhee qavi tadbeer ALLAH ko razi kar lena hai.

4. jitnay bhee manafay, bhaliyaan aur maslihatain hain sub ki sub tafweez k sath juree hui hain. aur ye tafweez Haqq-ullah hai.

5. Jab insan tafweez ikhtiaar karnay lagta hai to shetan waswasa dalta hai tafweez ikhtiar na karo azmaish may par jao ge

6. Hadees pak may hai k jo taqwa ikhtiar kar le ga saray alam may kaheen bhee ho aman aur aafiat se rahay ga. is ka jawab ye hai k jis ALLAH k supurd apnay ko kar raha hai aur phir ghabra bhee raha hai to ye alamat hai k us par bharosa naheen hai. eeman wala apnay ko ALLAH k supurd kar de aur phir ALLAH usay zaya kar de esa ho he naheen sakta, darasal ye shetan ALLAH se badgumani daal raha hota hai. husn-e-zan rakhay k mai apnay ko intehai muhabbat karnay walay malik k supurd karta hoon ko mujhe zaya naheen karay ga

7. fana jo talab-e-shohrat k lye ho baqa-e-nafs ki daleel hai (yani fana is lye ikhtiar karta hai k shohrat ho jaey aur log mutawaze samjhain) aur tafweez jo rahat k lye ho darasal tajweez hai (yani apnay ko supurd is lye karta hai k rahat ho jaey to ye bhee daleel hai k abhee tak apni raey aur tajweez baqi hai).

8. Hz. Thanvi r.a. ne farmaya k "dunyavi umoor may bohat zyada inhimaak aur ehtimam khilaf-e-tafweez, khilaf-e-tawakkul aur khilaf-e-taqdeer hai". kyoon k waja ye hai k eeman-e-kamil k sath parishani jama naheen ho sakti aur ye itna ehtimam aur inhimak alamat hai k duniavi umoor may be-had parishan aur bechayn aur harees hai

9. hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "hain to hum banday lekin chahtay hain khudai (yani jo hum chahain wo ho). bus ALLAH ki marzi k samnay apni marzi ko fana kar do"

waswasay ka ilaj zikrullah

wasawis zakir qalb may naheen ghafil qalb may atay hain. har shakhs khoob achhi tarha janta hai k mera ALLAH tala se talluq kesa hai aur kitna mazboot hai. bus talluq ko sahee kar le to sub wasawis aur khayalaat khatam ho jaaingay. aur us ka nuskha ye hai k shaikh k bataey huay zikr ki pabandi karay. zikr se fikr ka jamood door hota hai. agar fikr jamid hai to us ko harkat may lanay k lye zikr ikhtiar karo.

zikr fikr-e-afsurda ko khushi se badal deta hai.

zikrullah se latafat k sath sath bashashat bhee ati hai. zikr daafay-e-amraz-e-jismani bhee hai aur daafay-e-amraz-e-roohani bhee hai. istiqamat k lye bhee kasrat-e-zikr he shart hai. wasawis ka aik sabab shaikh se doori bhee hota hai.

Zikrullah ka iltizam alamat hai istiqamat ki. Zikr ka nagha rooh ka faqa hai. Naghay se be-barkati ati hai. Agar nagha ho raha hai to ye khud alamat hai k ab istiqamat nahee rahi

jo amal ilm k khilaf ho alamat hai k ye ilm ikhlas se hasil naheen kya

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "jo amal ilm k khilaf ho alamat hai k ye ilm ikhlas se hasil naheen kya."

madaris ki 8 saala taleem ka hasil

madarsay may 8 saal ki taleem hasil karnay k baad agar ye socha k mai ab kuchh ho gya hoon to  kuchh bhee hasil na ho saka. jis ki misaal esi hai k chhota gadha dakhil hua tha aur bara gadha bun kar nikla. ilm ka to hasil he ye hai k ALLAH tala ki azmat se waqif ho jaey jis ki alamat ye hai k apnay ko kuchh bhee na samjhay.

Hazrat wala ne farmaya k "Darul Uloom dil k tarapnay ka naam hai, darul uloom rooh k jalnay ka naam hai"

saray ilm ka hasil ye hai k ALLAH tala ki muhabbat dil may paida ho jaey takay amal karna asan ho jaey aur ye kisi ALLAH walay ki sohbat k baghair hasil naheen ho sakta

ikhtilaf aur adawat may farq

Hazrat Thanvi r.a. k paas aik sahab aey to un se ikhtilaf bhee tha aur ikram bhee kya. to farmaya k ikhtilaf to is lye hai k kuchh be-usooli thee aur ikram is lye kya kyoon k mere mehman thay. is se pata chala k ikhtilaf to ho sakta hai magar adawat na ho, yani hudood may rahay.

Agar kisi ki aik baat se ikhtilaf ho aur us ki har baat he buree lagnay lagay to ye alamat hai adawat ki

jab mayoos ho k maqbool ho ya naheen to daman-e-mustafa thaam lo

jab esay mayoosi k khayalaat anay lagain k maqbool hoon ya naheen to foran aap sallallah-o-alaihi wasallam ka daman pakar lena, aur sunnaton par amal may lag jana. kyoon k jesay he amal karo ge to us amal se mehboob-o-maqbool ho jata hai aur mayoosi bhee door ho jaey gee.

Sunnat par amal karnay walay k 4 tareeqay se ikram kia jata hai

Hadees pak may hai k "jo meri sunnat ki hifazat karay (yani sunnat ko lazim pakar le) to ALLAH tala us ka 4 tareeqay se ikraam farmaaingay:

(1) naik logon k dilon may us ki muhabbat daal daingay
(2) bad-kaar logon k dilon may us ki haybat daal daingay
(3) us ko farakhi-e-rizq naseeb farmaaingay
(4) deen may pukhtigi naseeb farmaaingay"

waawaila qabl az marg

ye sochna k jihad may maloom naheen sabit qadam rahoonga ya naheen, ya qayd na ho jaoon, ya zakhmi na ho jaaoon, ya quwat ho ya na ho, ya mustaqbil may gunah may mubtila na ho jaaoon waghaira, in sub mustaqbil ki fikr ko Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "waawaila qabl az marg hai". yani maut aai naheen aur us se pehlay he waawaila machana shuru kar dia. mustaqbil ki fikr may na paray warna ta-zeest is se nijaat mushkil hai. is fikr may parnay se shetan mayoosi may dalay ga aur amal ki himmat khatam kar de ga. mustaqil husn-e-zan rakhna aik mustaqil ibadat hai

jo aghaz he may fikr-e-anjam hai...tera ishq shayad abhee khaam hai.

Jihad k lye tabai aamaadgi aur riza wajib naheen sirf aqli riza chahye

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k tabai aamaadgi aur riza jihad k lye wajib naheen kyoon k ye ikhtiaar may naheen sirf aqli riza wajib hai jo ikhtiari hai, aur wo ye hai k agar shariat ka hukum ho to moqa-e-qitaal may hazir rahaingay, chahay kesi he wehshat aur dehshat ho tab bhee wahan se na hataingay, khuaa jaan he jati rahay, to bus ada-e-wajib k lye itna he azm kafi hai.

Monday 16 May 2011

Dua dastak ki tarha hai aur musalsal dastak se darwaza khul he jata hai

Dua dastak ki tarha hai... aur musalsal dastak se darwaza khul he jata hai

kholain ya na wo kholain dar
tujh ko hai kyoon is ki fikr
tu to bus apna kaam kar
yani sada lagaey ja
bethay gar aram se
rahaingay par kya kaam k
go na nikal sakay magar
pinjray may pharparaey ja

kya ye muhabbat ki alamat naheen k "agar de naheen rahay to janay bhee to naheen de rahay" kyoon k wo jantay hain k de dya to bhag jaey ga aur janay is lye naheen de rahay k is ka maangna, is ka rona ALLAH ko pasand aa gya hai.

umer bhar tarapna hai is mauj-e-muztar ko
k samadar ko pasand aa gya hai raqs is ka

ALLAH he ki dee hui jaan ALLAH tala he se bachana be-wafai hai

ALLAH ki dee hui jaan ALLAH tala he se bachana be-wafai hai. Hazrat wala ne farmaya k "ALLAH k rastay may apnay aazaa ko mazboot rakho".

jan dee, dee hui usi ki thee...haq to ye hai k haq ada na ho saka

ALLAH ka hukum anay k baad jo apni jaan ko ALLAH he se bachaey to phir us ko ghut ghut kar zillat ki maut ati hai

duaain qubool na honay ki waja

jab ALLAH ki bargah may tumhari duaain qubool na hon to apni Ghiza aur Guftugu ka ehtisab karo

(imam ghazali r.a.)

ibadaat se qurb milta hai jab k gunah chhornay se riza milti hai

ibadaat se qurb milta hai jab k gunah chhornay se riza milti hai. qurb riza k sath ho to matloob hai. warna qurb to badshah k darbar may shehzaday ko bhee hota hai aaur mujrimeen ko bhee. lekin aik ko badshah ki riza hasil hai aik ko naheen. shetan ne bhee ibadaat bohat keen jis se muqarrab bhee ho gya lekin maqbool naheen hua, aur ALLAH ki riza hasil na hui. ibadat karna ALLAH ki muhabbat ka haq hai aur gunah chhorna ALLAH ki azmat ka haq hai.

meri talab bhee un k karam he ka sadqa hai

wo mujhe yad gar naheen kartay
yad un ki imujhe naheen aati


Ay ALLAH ye aap he k karam ka to sadqa hai, aap he to humain yaad kar rahay hain jo humain aap ko yad karnay ki tofeeq ho rahi hai.

agar koi kisi ko koi hunar sikhaey aur wo shakhs seekhnay k baad kahay k ye to mujhe ata tha aur is may kya mushkil hai to sikhanay wala kahay ga k kesay na-shukra admi hai aur ainda koi nai baat naheen bataey ga. isi tarha jo banda nekyon ko apna kamal samajhta hai us se barh kar na-shukra aur koi naheen. lihaza nekyon ko ALLAH ki ata samajh kar shukar karta rahay.
 
chhota bacha jis ko pencil bhee pakarna naheen ati, baap us k hath may pencil pakra kar us ka hath apnay hath se pakar leta hai aur likhwata hai ALIF, aur phir khud he us ko shabashi bhee deta hai, aur bacha bhee khush hota hai k mai ne likha, halan k wo to baap ne apnay hath se pakar kar likhwaya tha warna bachay ko to pencil bhee chalana nahee ati thee

Nadamat hona alamat hai k ashiq-e-khudawandi hai

Hazrat wala damat barkatuhum ne farmaya k "Nadamat hona alamat hai k ashiq-e-khudawandi hai"

Mujahiday se jism ko to takleef hoti hai lekin rooh may noor paida hota hai

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "Mujahiday se jism ko to takleef hoti hai lekin rooh may noor paida hota hai" bohat se log ye ishkaal kartay hain k Quran pak may to hai k "dilon ka itminan ALLAH he k zikr may hai" jab k bohat se ehlullah ko bhee parishaniaan ati hain. to hazrat wala ne is ka jawab dia k "jism may to takleef may ho sakta hai lekin rooh itminan se hoti hai, dil parishan naheen hota"

hazz-e-nafs ka nuqta-e-aghaz bod-anil-haq ka nuqta-e-aghaz hai

Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "hazz-e-nafs ka nuqta-e-aghaz bod-anil-haq ka nuqta-e-aghaz hai"

haz kehtay hain lazzat ko
hazz-e-nafs yani nafs ki lazzat
boad-anil-haq = ALLAH se doori

yani nafs jis waqt lazzat lena shuru karta hai to bus wo ALLAH se doori ka nuqta-e-aghaz hota hai. misal k taur pay kisi haseen ka khayal sochna shuru kya, ya apnay ko achha samajhna shuru kya, ya kisi k baray may buray khayal paka raha hai, ya hisr-o-hasad k khayalat sochna shuru kye, to bus foran usi waqt ALLAH tala se doori ka zero point hai.

Thursday 5 May 2011

Roohani Rizq aur Jismani Rizq

ALLAH tala RUB hain jis k maanay hain palnay wala. to jis tarha ALLAH tala jismani rizq detay hain isi tarha roohani rizq bhee ponhchatay hain. hadees pak may hai k insan jab tak apna rizq mukammal naheen kar le ga to us waqt tak maut naheen aey gee. hazrat wala ne farmaya k is may jismani k k sath roohani rizq bhee shamil hai. jis ka roohani rizq jahan likha hota hai waheen ponhcha dya jata hai. alam-e-arwah may jin roohon ki munasibat thee dunia may wo jama kar dee jati hain.

Hadees pak ki dua hai na k "allahumma arinal haqqa haqqaoon warzuqnat tiba'aa, wa-arinal baatilaa baatila warzuqnajtinaba...to hazrat wala ne farmaya k is may haq ka ittiba aur batil se ijtinab ko warzuqna se tabeer kya...yani haq ka ittiba aur batil se ijtinab ko hamara rizq bana de...aur hadees may hai k jab tak rizq mukammal naheen hoga us waqt tak maut naheen aey gee...yani ay ALLAH maut jab tak na aey jab tak k hum apna roohani rizq mukammal na kar lain yani haq ka ittiba aur batil se ijtinab"

Tuesday 3 May 2011

khof hota hai zoaf-e-qalb se, aur zoaf-e-qalb hota hai gunah se

Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "khof hota hai zoaf-e-qalb se, aur zoaf-e-qalb hota hai maasiat (gunah) se"

bohat se sahaba duplay patlay thay, kamzor thay, lekin choon k taqwa se rehtay thay aur gunah naheen kartay thay jabhee dil mazboot tha, bari bari taqaton se takra jatay thay. ye eeman he ki quwat thee. kyoon k gunah se dil kamzor ho jata hai aur dil may andheray aa jatay hain, jis ki waja se buzdili hoti hai aur wasawis atay hain kyoon k andheray may he waswasay atay hain k kaheen gir na jaoon, koi janwar na kaat le, jab k roshni may esa waswasa naheen ata. kyoon k sub saaf dikhta hai. isi lye jihad may kasrat-e-zikr ki takeed ki jati hai takay dil se andheray bhag jaain aur isteqamat qaaim rahay

ALLAH par yaqeen na hona

1. Hazrat Thanvi r.a. farmtay hain k "hamara to ALLAH tala se esa talluq ho gya hai, jesay goya k un k ikhtiyar may nauzubillah kuchh hai he naheen."

parishani may shikwa shikayat na karay

aik buzurg farmtay hain k parishani ka tazkira kartay rehnay se barh jati hai, khamosh honay se kam ho jati hai, sabr karnay se khatam ho jati hai aur shukr karnay se khushi may tabdeel ho jati hai