Taleemaat-e-Hakeem-ul-Ummat Hazrat Maulana Ashraf Ali Thanvi, Sheikh-ul-Arab Wal-Ajam Arif Billah Hazrat-e-Aqdas Hazrat Maulana Shah Hakeem Muhammad Akhtar Sahab, Deegar Akabireen
Thursday 28 July 2011
Husn-e-Zan k asraat murattab hotay hain
Husn-e-Zan k asraat murattab hotay hain. Hz. wala ne farmaya k "soch aur fikr se deen k qilay fatah hotay hain" aur farmaya k "khayali pulao banana bhee ibadat hai" yani ALLAH se khoob naik guman rakhay. Hz. Thanvi r.a. ne farmaya k "apnay khayalat ko husn-e-zan se bhar lo" Quran pak ki ayat hai k "Fa-iza azamta fatawakkal alallah" yani Ay nabi alaihissalam jab aap kisi baat ka azm kar lain to phir ALLAH par bharosa rakhain. is may taleem ye hai k jab admi azm kar le to phir ab ALLAH par bharosa rakhay.