Thursday 20 October 2011

Tum mujh ko yad karo mai tum ko yad rakhoonga

Hazrat Thanvi r.a. farmatay hain k ALLAH tala ne Quran pak may farmaya k Tum mujh ko yad karo mai tum ko yad rakhoonga, farmaya k ye zikrullah ka asli samra (hasil/sila) hai k agar isko mustehzar rakha jaey to kabhee tashweesh na ho

ALLAH se naik guman rakhnay ka umda tareeqa

Hazrat Hakeem-ul-Ummat Thanvi r.a. farmatay hain k ALLAH Tala se naik guman aur umeed rakhnay ka umda tareeqa ye hai k is ki poori itaa'at aur farmanbardari ki koshish karay. Ye tabai baat hai k jis ki itaa'at ki jati hai is se sub tarha ki umeedain rehti hain aur nafarmani se zaroor dil ko wehshat aur na umeedi ho jati hai

Thursday 13 October 2011

Jab mayoosi ho k maqbool hoon ya naheen to daman-e-mustafa pakar lena

Aik buzurg farmatay hain k jab kabhee shetan mayoos karnay lagay k aur waswasa dalay k maqbool hoon ya naheen to daman-e-mustafa pakar lena. Kyoon k ye esa maqbool rasta hai k maqbool bana he deta hai. Is rastay may mayoosi hai he naheen.


Naqsh-e-Qadam Nabi (1) k hain jannat k rastay
ALLAH (2) se milatay hain sunnat krastay

(1) sallallah-o-alaihi wasallam
(2) jalla jala luhuoo

(Shaikh-ul-arab wal-ajam arif billah Hazrat-e-Aqdas Hazrat Molana Shah Hakeem Muhammad Akhtar Sahab Damat Barkatuhum)

Apnay amaal ki taraf har giz tawajja na karay

Hazrat wala ne farmaya k "jab chal chalao ka waqt ho to apnay amaal ki taraf har giz tawajja na karay, bus apnay RUBB-e-kareem ki rehmat aur karam ki umeed par nazar rakhtay huay ALLAH ki bargah may hazir ho. Amaal to karay lekin amaal ki taraf se tawajja hata le. Warna shetan mayoos karay ga k amaal to kuchh bhee naheen kye aur yoon ALLAH ki taraf se tawajja hata kar amaal k under mashghool kar k qalb ko tashweesh may mubtila kar de ga aur nazar ALLAH ki rehmat aur karam se hut jaey gee."

Aik buzurg farmatay hain k "amal se iwaz milta hai jab k ishq se ALLAH milta hai. Fitna-e-dajjal k waqt may bohat se log isi waja se mayoos ho jaaingay. Lihaza ishq bari nemat hai. Tamam amaal kar k bhee amaal par nazar na karay. Umeed ko khauf par ghalib rakhay, warna mayoosi honay lagay gee. Aur mayoosi  se dil may qalq hota hai aur qalq se talluq ma'ALLAH ghat'ta hai jab k rija se bashashat hoti hai aur bashashat se talluq ma'ALLAH barhta hai.

ALLAH tala asbab ko qata kar k tawajjo ilal-haq ko qavi kartay hain

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k baaz dafa ALLAH tala asbab ko qata kar k tawajjo ilal-haq ko qavi kartay hain. Ye mamla apnon k sath kya jata hai k tamam asbab ko he chheen lye to sirf ALLAH he ka asra reh jata hai aur poori nigah ALLAH ki taraf bus ho jati hai, to ye bhee to ain rehmat he hai. Ghairon k paas to asbab he asbab hotay hain.

ALLAH k khas bandon ki alamat

Aik buzurg farmatay hain k ALLAH k khas bandon ki alamat ye hai k jab shetan un k dilon may gunah ka waswasa dalta hai to kaanp uthtay hain aur foran sajday may gir jatay hain. Gunah k taqazay par foran amal kar lena alamat hai k abhee khas naheen huay. Aulia ALLAH masoom to naheen hotay lekin mehfooz ho jatay hain.

Zaroori naheen k jo mau'ood ho wo maqsood bhee ho

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k zaroori naheen jo cheez mau'ood ho wo maqsood bhee ho. jesay Quran pak may wada hai k tum istighfar karo ge to ALLAH asman se barish barsaey ga, aur tumharay maal aur aulad ko bhee barha de ga. To yahan agar istighfar se maal aur aulad mil bhee gaey to ALLAH ka wada to poora ho gya lekin is se ye lazim nahee ata hai maal aur aulad maqsad bhee hon. Agar ye maal aur bv bachay maqsad hotay to kabhee fana naheen hotay. Kyoon k maqsad ko weeran naheen kya jata. Maqsad ko weeran aur khatam koi be-waqoof he karta hai. Aur ALLAH tala har aib se pak hai. Lihaza isi se pata chala k maal aur aulad maqasid may se naheen.

Buzurgon ki sohabt se noor-e-eeman qavi aur deen may rusookh hota hai

Buzurgon ki sohbat se noor-e-eeman qavi hota hai aur deen may rusookh paida hota hai. Hazrat wala ne farmaya k buzurgon k tazkiray se bhee dil noor se bhar jata hai

Qabz may jab aur taraqqi hoti hai to haibat kehlati hai

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k jab qabz may aur taraqqi hoti hai to haibat kehlati hai. Lihaza mayoos aur parishan na ho. Us k baad jab ifaqa hota hai to phir uns ho jata hai.

Jitna ghayb par yaqeen zyada ho ga utna he sunnaton par amal zyada ho ga

Aik buzurg farmatay hain k Jitna ghayb par yaqeen barhay ga utna he sunnaton par zyada amal ho ga

Monday 3 October 2011

Dua bhee zikr hai lihaza is may bhee aitidal chahye

Dua may bhee itna zyada na roay k ghair moatadil ho jaey. Aitidal k sath dua karay baqi ALLAH par bharosa karay aur nateejay ko ALLAH k supurd kar k ALLAH k faisalay par razi rahay. Rona gana bhee aik qisam ki be-sabri he hai. Is se to yehi maloom hota hai k ALLAH se badguman hai aur aitimad naheen hai. Bohat zyada dua may rona riza bil qaza k bhee khilaf hai.

Dua bhee choon k zikr ki aik qisam he hai, lihaza is may bhee aitidal rahay, itna na roay k faraiz mutassir honay lagain aur ikhlaq kharab ho jaain.

Ab na ponhchay un ko mujh se koi gham
ay mere ashk-e-nadamat ab to thum!!!

Tawakkul k baad khauf-e-azmaish

Tawakkul ikhtiar karnay k baad bhee halka sa aik tabaee aur ghair ikhtiari khauf rehta hai k agar is k mukhalif ho gya to phir kya ho ga? to us k ilaj ye hai k ALLAH tala se azmaish se pana maang le. Aur is ka raaz ye hai k tawakkul k baad bhee jo khauf rehta hai to agar us ka hasil nikala jaey to wo "Khauf-e-azmaish" he hai. Isi lye azmaish he se pana maang le to us khauf aur ghair ikhtiari tashweesh may aitidaal aa jaey ga.

ALLAH poochhay k kya laey ho to gunah pesh kar dena

Aik buzurg farmatay hain k jab ALLAH banday se poochhain k kya laya hai mere lye to apnay gunahon ki gathree aur nadamat pesh kar dena k ya-ALLAH mere paas to kuchh naheen tha sirf ye gunah laya hoon, aur aap kareem hain aur Kareem kharab aur ghatia cheez bhee le leta hai