Monday 20 June 2011

shukar har qisam k khazanay aainda k lye hasil karnay ki kunji hai

Hazrat Dr. Abdul Hai Arfi r.a. ne farmaya k "shukar har qisam k khazanay aainda k lye hasil karnay ki kunji hai. jo nemat zyada lena chaho us ka shukr ada kar lia karo. aur har nemat zaroori hai. is lye har nemat ka shukr he karta rahay.

Hazrat Dr. Abdul Hai Arfi r.a. ne farmaya k "istighfar se abdiat aur shukr se maarifat paida hoti hai" yani jab istighfar admi karta hai to wo bandgi ka izhar hota hai k mujh se khata hui aur mai farishta naheen hoon banda hoon lihaza mujhe maaf kar dain. aur is se aajzi aur tawazo paida hoti hai jo k ALLAH ko mehboob hai.

isi tarha shukr se maarifat hasil hoti hai. yani har har nemat ki taraf jab admi dhihan karta hai to kehta hai k ye to ALLAH ki ata hai us ka shukr hai aur jis ka mai mustahiq naheen tha. to jitni nematain dekhta rehta hai to utna utna he ALLAH ko pehchanta jata hai aur shukr karta rehta hai aur ALLAH ki muhabbat dil may paida hoti chali jati hai. isi lye aap sallallah-o-alaihi wasallam is kaainat k sub se baray arif hain, sayyid-ul-aarifeen hain sub se zyada ALLAH ko pehchannay walay hain. kyoon k aap sallallah-o-alaihi wasallam ne har har moqay ki duain sikhla deen. isi lye jo jitna muttab-e-sunnat hota chala jaey ga utna he bara aarif aur waliullah bun jaey ga. yehi waja hai k masnoon amaal aur duaaon k ehtimam ko ulema ne kasrat-e-zikr kaha hai.

ehl-e-muhabbat aur ehl-e-aqeedat

Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k ehl-e-muhabbat se hazz hota hai (yani be-takallufi hoti hai to maza ata hai) jab k ehl-e-aqeedat se bojh hota hai (yani lihaz rakhna parta hai). lihaza ehl-e-muhabbat banain. aur shaikh se esa talluq na ho k us ko islah k maamlay may lihaz rakhna paray.

sahaba jab Aap Sallallah-o-alaihi wasallam ko hadya detay thay to muhabbat he ki waja se detay thay us waqt un k zehn may risalat ka khayal bhee na hota tha (matlab ye k muhabbat ki waja se detay thay mehz aqeedat ki waja se naheen)

Hazrat thanvi r.a. se kisi ne kaha k kya muhabbat he ki waja se aqeedat naheen hoti to farmaya "naheen! kyoon k bacho se muhabbat hoti hai aqeedat naheen"

doosron ko half-mind aur apnay ko full-mind samajhna alamat-e-kibr hai

doosron ko half-mind aur apnay ko full-mind samajhna alamat-e-kibr hai. mubtila-e-jehl pay rehm karna sunnat hai. bohat se log qabil hotay hain lekin maqbool naheen hotay. aur bohat se log maqbool hotay hain qabil naheen hotay. lekin bohat se log qabil bhee hotay hain aur maqbool bhee.

agar poori kaainaat may aik shaks ko bhee haqeer samajhta hai to ye bhee mutakabbir hai. jesay beevi, behn bhai, ya baap boorha ho gya to kehtay hain k 60 ka ho gya to sathiya gya, ye sub kibr hai.

nemat ka aik shukar ye bhee hai k dimagh kharab na ho

1. Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k nemat ka aik shukar ye bhee hai k dimagh kharab na ho.

2. jo log maashray may zaleel samjhay jatay hain un ki tazeem karay

har parhez gaar (muttaqi) ka noor hota hai

har parhez gaar (muttaqi) ka noor hota hai, bus kisi ka zahir hota hai aur kisi na naheen hota.

wajd moqoof hai warid par

wajd moqoof hai warid par aur baghair warid k wajd taari karna nihayat darjay ka tasanno hai. (yani jesay aksar log mehfil munaqqid kar lee aur kharay ho gaey, aur jhoom rahay hain, to ye to intehai darjay ki banawat hai. kyoon k admi wajd se jhoomta hai aur wajd jab ata hai jab k dil par koi haal warid hua ho.)

hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "sahib-e-maqam ka warid qabil-e-ittiba ho sakta hai" har sahib-e-haal ka warid moatabar naheen k us ki ittiba kar lee jaey

tamam nekyon ki jar zohd hai

tamam nekyon ki jar zohd hai (zohd yani dunia se be-raghbati ho jana). jab zohd hasil ho jaey ga to ghina hasil ho jaey ga. (yani maaldari ho gee to nuqsan naheen de gee aur faqr ho ga to mayoos naheen ho ga), dono soorton may dil mustaghni rahay ga.

muttaqi ko bhee maut ka khof hota hai

muttaqi ko bhee maut ka khof hota hai aur dunia daar ko bhee maut ka khof hota hai. lekin farq yeh hai k dunia-daar k khof may wehshat hoti hai aur muttaqi k khof may umeed bhee ho gee. kyoon k neki may khasiat umeed ki hai aur gunah may khasiat na-umeedi ki hai. gunah se bad-bakhti ki waja may bhee yehi nukta hai k gunahon ka azab ye hota hai k admi ALLAH se mayoos ho jata hai jo k kufr tak le jata hai

zahiri aur batini shahadat talab karo

zahiri aitibar se bhee shahadat talab karo aur batini aitibaar se bhee shahadat ki dua maango. batini shahadat ye hai k apni har haram khuahish ka khoon kar dena, apnay nafs ko maar dena. batini shahadat wala siddique hota hai.

tum insan bun jaao, aadmi tumharay paas khud aaingay

Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k tum insan bun jaao, aadmi tumharay paas khud aaingay. jab k hum batini aitibaar se janwar k janwar he hain

Jan de kar ALLAH tala ki qadar-dani dekho

ALLAH tala par jaan de kar dekho k wo kitnay qadar-daan hain. apnay gunahon par khizaan laao phir dekho ALLAH tum par kitni baharain lata hai.

Mukhlisi ka mayaar

apni qeemat khud mat lagao k mai bohat mukhlis hoon. mukhlisi ka pata imtihan k waqt chalta hai. jo badal garajtay hain barastay naheen hain. lihaza ALLAH tala k samnay ajzi ikhtiar karo aur ro ro kar maqbooliat, ikhlas aur istiqamat maango. Ehliat to kisi may bhee naheen hoti tu he paida farmata hai. Ay ALLAH tu to kareem hai, ay ALLAH meri jaan ka bhee soda kar leejye. humaray under na to ehliat hai, na quwat hai, na koi saman hai, bus tere he karam ka aasra hai. in khotay sikkon ko bhee kharay sikkon k sath qubool farma leejye. apnay paak bandon k sath un k sadqay humain bhee qubool farma leejye.

Dua

Ay ALLAH meri kashti paar laga de, toofan may meri kashti phansi hui hai aur dagmaga rahi hai aur toofan bhee tez se tez tar hota ja raha hai aur mera dil dhak dhak kar raha hai. ay ALLAH mai to banda hoon tera aur tu ne khud he farmaya hai tum zaeef ho. aur tu zaeefon ka malja-o-mola hai. Ay ALLAH mai to kamzor hoon aur taqat-war to tu hai. mera imtihan na leejye warna mai yaqeenan gir jaoonga. meri is tarha hifazat farmaye jis tarha maa hifazat karti hai apnay chhotay bachay ki.

naik sohbat may jab jata hai to hilm paida hota hai

naik sohbat may jab jata hai to hilm paida hota hai. naik sohbat k baghair sabr paida naheen hota.

kaar-e-deen batareeq-e-deen ho

Hazrat Shah Abrar-ul-Haq sb. r.a. ne farmaya k "kaar-e-deen batareeq-e-deen ho" aur farmaya k "Nakeer bila tehqeer ho". Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "Ghuloo k sath dawat denay may samnay walay ko gharz ka shubha ho sakta hai" Aur Quran pak may bhee sarahat se jagah jagah aya hai "Ay Nabi Alaihissalam aap is k darpay na hon k in ko hidayat ho he jaey"