Monday 20 June 2011

shukar har qisam k khazanay aainda k lye hasil karnay ki kunji hai

Hazrat Dr. Abdul Hai Arfi r.a. ne farmaya k "shukar har qisam k khazanay aainda k lye hasil karnay ki kunji hai. jo nemat zyada lena chaho us ka shukr ada kar lia karo. aur har nemat zaroori hai. is lye har nemat ka shukr he karta rahay.

Hazrat Dr. Abdul Hai Arfi r.a. ne farmaya k "istighfar se abdiat aur shukr se maarifat paida hoti hai" yani jab istighfar admi karta hai to wo bandgi ka izhar hota hai k mujh se khata hui aur mai farishta naheen hoon banda hoon lihaza mujhe maaf kar dain. aur is se aajzi aur tawazo paida hoti hai jo k ALLAH ko mehboob hai.

isi tarha shukr se maarifat hasil hoti hai. yani har har nemat ki taraf jab admi dhihan karta hai to kehta hai k ye to ALLAH ki ata hai us ka shukr hai aur jis ka mai mustahiq naheen tha. to jitni nematain dekhta rehta hai to utna utna he ALLAH ko pehchanta jata hai aur shukr karta rehta hai aur ALLAH ki muhabbat dil may paida hoti chali jati hai. isi lye aap sallallah-o-alaihi wasallam is kaainat k sub se baray arif hain, sayyid-ul-aarifeen hain sub se zyada ALLAH ko pehchannay walay hain. kyoon k aap sallallah-o-alaihi wasallam ne har har moqay ki duain sikhla deen. isi lye jo jitna muttab-e-sunnat hota chala jaey ga utna he bara aarif aur waliullah bun jaey ga. yehi waja hai k masnoon amaal aur duaaon k ehtimam ko ulema ne kasrat-e-zikr kaha hai.