Tuesday 6 September 2011

Halal ya Haram kamana insan k apnay ikhtiar may hai

Aik dafa aik buzurg namaz parhnay k lye masjid aa rahay thay, jab masjid par ponhchay to bahir aik yahoodi khara tha us ko kaha k tum ye ghora dekhtay rehna mai namaz parh k ata  hoon. Jab namaz parh kar bahir niklay to dekha k wo ghulam yahoodi bhee ghaayb aur ghoray par zeen bhee na thee...samnay aik dukan par nazar pari to dekha k un k ghoray ki wo zeen us dukan may latki hui thee...dukan walay se zeen ka poochha to us ne kaha k 1 dirham ki hai...un buzurg ne aik sard aah bhari aur farmaya k "AAH! mai abhee namaz k baad us zalim ko 1 dirham ujrat k taur par denay he wala tha, lekin us ne jaldi ki aur wo aik dirham haram se hasil kya". To rizq to muqaddar may jitna jis k hissay may likha hai utna us ko mil kar he rahay ga lekin ye banday k ikhtiar may hai us ko halal se hasil karay ya haram se.