Tuesday 27 September 2011

Asbab bhee ALLAH ki mashiat k tabay hain

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k asbab bhee ALLAH tala ki mashiat k tabay hain. Asbab may barkat bhee dua he se ati hai

Tuesday 6 September 2011

Halal ya Haram kamana insan k apnay ikhtiar may hai

Aik dafa aik buzurg namaz parhnay k lye masjid aa rahay thay, jab masjid par ponhchay to bahir aik yahoodi khara tha us ko kaha k tum ye ghora dekhtay rehna mai namaz parh k ata  hoon. Jab namaz parh kar bahir niklay to dekha k wo ghulam yahoodi bhee ghaayb aur ghoray par zeen bhee na thee...samnay aik dukan par nazar pari to dekha k un k ghoray ki wo zeen us dukan may latki hui thee...dukan walay se zeen ka poochha to us ne kaha k 1 dirham ki hai...un buzurg ne aik sard aah bhari aur farmaya k "AAH! mai abhee namaz k baad us zalim ko 1 dirham ujrat k taur par denay he wala tha, lekin us ne jaldi ki aur wo aik dirham haram se hasil kya". To rizq to muqaddar may jitna jis k hissay may likha hai utna us ko mil kar he rahay ga lekin ye banday k ikhtiar may hai us ko halal se hasil karay ya haram se.

qalq se talluq maa'ALLAH ghat'ta hai aur bashashat se barhta hai

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "Qalq se talluq maa'ALLAH ghat'ta hai aur bashashat se talluq maa'ALLAH barhta hai"

yani baaz dafa soofi aur salikeen apnay ooper gham ko qasdan taree kar k ronay ko taree kartay hain aur samajhtay hain k taraqqee ho rahi hai halaan k qalq se gham aur mayoosi hoti hai jis se talluq ghat'ta hai jab k agar bashashat ho to mazeed amaal karnay ka jee chahta hai aur taraqqee aur qurb ka madaar amaal par hai na k kayfiaat par. Apnay ikhtiar se dil par gham ko taree karnay se dil ko tashweesh hoti hai aur salik ko chahye k apnay dil ko tamam tashweeshaat aur khatraat se pak rakhay

Jazbaat pay he apnay shaad na reh ay majzoob
jazbaat haich hain gar murattab amal na ho