Thursday 28 July 2011

DUA ka falsafa

Duaon ki jald qubooliat ka aik bohat bara nuskha ye hai k ALLAH tala se is baat par razi ho jaey k "ya ALLAH meri ye dua agar maut tak bhee qubool naheen hui to martay dum tak mai razi rahoonga" ALLAH tala ko itna pyar ata hai k "achha ye banda hum se razi rahay ga, laao is ka ye kaam kar do"

dua qubool to ho jati hai lekin zuhoor ALLAH pak jab behtar samajhtay hain us waqt kartay hain. ooper dua may qubool ba-maani zuhoor k hain. yehi riza-bil-qaza hai jo ikhlas se bhee ooncha maqam hai. kyoon k jo har har moqay par ALLAH k har faislay par razi ho to is se barh kar mukhlis aur kon ho ga isi lye ye riza-bil-qaza ikhlas se bhee ooncha maqam hai. aur har tajveez baqa-e-nafs ki daleel hai. yani tajweez ka baqi hona daleel hai k nafs abhee mita naheen zinda hai.

tajveez kehtay hain k apni raey ko baqi rakhna jo k nafs k na mitnay ki alamat hai aur tafweez ye hai k apnay har deeni aur dunyavi maamlay ko kulli taur par ALLAH k supurd kar dena aur apni raey yani tajweez ko khatam kar dena)

Tadabeer may sub se qavi tadbeer dua hai. tadbeer na karna jihalat aur is par bharosa karna himaqat hai, yani tadbeer to karay lekin is par bharosa na karay, bharosa sirf ALLAH tala ki zaat aur un k hukum par ho. tadbeer aur dua k baad jo na-muradi ho wo ALLAH ki murad hoti hai. tadbeer may barkat bhee dua he se ati hai.
jab zameen pay na ho tadbeer-e-zamanto kyoon na jaey aah soo-e-asmaan

Lekin dua se bhee qavi aik tadbeer hai aur wo hai "ALLAH ko razi karna". kyoon k jab wo razi ho jatay hain to phir sub kaam khud he bana detay hain. jesay baap bachay se naraz ho to tofee bhee naheen deta, lekin jesay he bacha ro ro kar apnay abba ko mana leta hai to baap na sirf maaf karta hai balkay inaam-o-ikraam ki barish bhee kar deta hai. isi tarha ALLAH tala se jab maafi maang kar un ko razi kar letay hain to phir wo na sirf maaf kartay hain balkay nawazishaat bhee khoob kartay hain. aur jitna samajhdar bacha hota hai wo usi hisab se mangta hai. jesay chhota bacha tofee mangta hai, thora aur samajhdar hota hai to cycle mangta hai aur samajhdar hota hai to motor-bike aur car mangta hai, aur samajhdar hota hai to bangla factory mangta hai kyoon k agar bachay ko pata ho k mera abba bohat ameer hai aur bohat khazanay hain to kam naheen mangay ga. isi tarha jo banda jitna zyada ALLAH ka arif ho ga yani ALLAH ko janta ho ga usi qadar mangay ga.

aik sahab ne hazrat wala se kaha k chhota moo aur bari baat hai hamari itni auqat kahan k bari cheez mangain, to Hazrat wala ne farmaya k apnaa moo dekh kar naheen un ki shan dekh kar maango. hamara moo to is qabil bhee naheen k aik niwala bhee dya jaey. lihaza un ki shan aur un k karam k sadqay may maango.

jesay aik badshah ne aik kisan se kaha k hum tujhe apna dost banatay hain. to us ne kaha huzoor agar aap ne mujhe apna dost banaya to jab aap mere ghar aaingay to aap to hathi pay beth kar aaingay to meri to jhonpri hai, na mai rahoonga na meri jhonpri. to badshan ne kaha be-waqoof jis ko hum dost banatay hain to phir pehlay us ka ghar bhee apnay hisab se he banwatay hain phir hum us k ghar atay hain.
matlab ye hai k jis ko ALLAH apna banatay hain phir us k hoslay bhee buland hotay hain phir wo chhoti cheez naheen maangta us ko jab nemat detay hain to nemat ka tahammul bhee detay hain.

Hazrat wala ne farmaya k "apnay ko ehl samajh kar agar dua ki jaey to dua qubool naheen hoti, apnay ko na-ehl samajh kar maango". log kehtay hain k hum zarooriaat-e-zindagi k to mustahiq hain, ye aqeeda sahee naheen ghalat aqeeda hai. Hazrat wala ne farmaya k apna aqeeda durust kar lo k hum zarooriaat-e-zindagi k bhee mustahiq nshee hain. hum ALLAH ki milk hain wo jesa chahay tasarruf karain. ye sub ata mehz ALLAH ka karam hota hai.

Duaon may yaqeen amaal (namaz, zikr-o-tilawat) ki pabandi k baghair naheen ata.

dua ka falsafa ye hai k baaz dafa koi kaam esa hota hai k itni miqdar may dua karay ga to phir qubool ho ga aur us ka zuhoor ho jaey ga. aulia ALLAH ki duain is lye jald qubool ho jati hain k wo gunah naheen kartay. masla ye hota hai k hum dua bhee kartay hain lekin beech may gunah bhee kar bethtay hain jis se duaon ki qubooliat may der hoti hai. jesay koi kaam esa hai k jis k lye 100 duaon ki miqdar muqarrar hai. ab agar beech may 15 gunah bhee kar dye to 100 k bajaey ab 115 duain chahye hongee kyoon k pehlay 15 to gunahon k badal chhatnay may lag jaingee aur phir baqi 100 poori karni hongee takay wo kaam ho jaey. yani jo kaam 100 duaon may hona tha ab 15 gunahon ki waja se 100 k bajaey 115 duaon may ho ga. lekin aik baat hai k yaa to aik aik dua kar k 100 ki tadad ko poora karay ya phir aik he dua esi karay jo 100 ki tadaad k barabar ho aur direct kaam ho jaey. yani itna zor se ALLAH k samnay roay aur sijda gaah ko ro ro kar tar kar de k foran us ka kaam ho jaey.

har dua ka qubool ho jana alamat-e-maqbooliat naheen. Dua to shetan ki bhee qubool hui thee. apni manwana kamal naheen . kamal to ye hai k un ki maan kar chalay. isi lye mayoos na ho. un ki maan raha hai to kuchh fikr naheen. shuru may salikeen ko duaon may tabai yaqeen to hasil hota hai lekin wo aksar "haal" hota hai "maqam" naheen hota hai. is k rusookh k lye phir salik ko mujahidat se guzara jata hai. aik buzurg farmatay hain k mai ne apnay iradon k tootnay se ALLAH ko pehchana. to baaz dafa taweel arsay tak dua ka zuhoor naheen hota. ye waqfa-e-tarbiat hota hai, takay dua k yaqeen k sath riza-bil-qaza ka sabaq pakka ho jaey aur rusookh kar k maqam bun jata hai. aur ye riza ka maqam ikhlas se bhee ooncha maqam hai. aur ye hasil hota naheen jab tak k iraday na tootain aur phir us par wo tafweez na karay