Thursday 28 July 2011

Tafweez

Apnay har mamlay (deeni aur dunyavi) ko poori tarha ALLAH k supurd karnay k baad phir sochnay bhee na, kyoon k jab doodh peeta be-bus bacha maa baap ka mohtaj hota hai aur be-fikr hota hai to hum kyoon apnay ALLAH par andha aitmad naheen kartay? Dua karnay k baad kyoon be-fikr naheen hotay. Dua karnay k baad kamil aitimad rakhain aur nateejay par ALLAH se razi rahain

Wasawis zakir qalb may naheen atay ghafil qalb may atay hain

Wasawis zakir qalb may naheen atay ghafil qalb may atay hain...shetan andheray may rehta hai. zikr se dil msg noor ajata hai. Aur noor atay he shetan bhag nikalta hai kyun k dil k andheray khatam ho jatay hain. isi lye wasawis bhee bhag jatay hain. jesay light na ho to andheray ki waja se dar lagta hai k kaheen gir na jaoon thokar na lag jaey. Lekin jesay he light aa jaey to phir koi waswasa naheen hota. roshan may har cheez wazay nazar ati hai. isi tarha zikr se bhee noor ajata hai phir koi khof bhee naheen rehta aur har cheez haqeeqat may dekhta hai. is lye wasawis ki waja ziker na karna hai yani qalb ka ghafil hona hai yani andheron may shetan ka ghar hona. isi lye mashaaikh kasrat se ziker karwatay hain. maidan-e-karzar may isi lye kasrat-e-ziker ka kaha hai takay wasawis na aain aur mustaqeem rahain

Lazzat-e-faryad toofano may hai

Lazzat-e-faryad toofano may hai...kon kehta hai kinara chahye
aap par har dam fida ho meri jaan...ghair ki mujh ko na parwa chahye

Durood shareef ki fazeelat

Huzoor sallallah-o-alaihi wasallam ne farmaya k jo mujh par durood bhejta hai mai us k lye dua karta hoon

Sukoon sirf ALLAH he ki yad may hai

Na dolat se na dunia se na ghar abad karnay se
Tasalli dil ko milti hai KHUDA ko yad karnay se

Taqwa k inamat

Taqwa k inamat:

1. har kaam may asani
2. museebaton se nijat
3. be-hisab rizq
4. noor-e-fariq (haq aur batil may farq karnay wala noor) ata hota hai
5. noor-e-sakeena dil may nazil hota hai aur depression, tension se nijat milti hai
6. ba-lutf zindagi hasil hoti hai
7. izzat-o-ikram milta hai
8. ALLAH ki wilayat hasil hoti hai
9. Gunahon ka kaffara ho jata hai
10. Akhrat may maghfirat

Tauheed

1. Jab admi ALLAH par bharosa kar leta hai to phir ALLAH us k lye kafi ho jatay hain.

2. Tum ALLAH se jesa guman karo ge wesa he mamla ho ga, kyoon k hadees pak may hai k mai apnay banday k guman k mutabiq mamla karta hoon

3. ALLAH tala se mustaqil husn-e-zan rakhna aik mustaqil ibadat hai

4. Apni hajat har ik se na kehtay phiro k ye ALLAH ki shikayat karna hai makhlooq se. Aur shuker zyada kartay raho, jab banda shuker naheen karta to phir shikwa shikayat he karta hai. ALLAH ki raza par razi raho ALLAH ki bhee kamil riza mil jaey gee

5. Jis ne namaz ki fikr chhori ALLAH ne bhee us ki fikr chhor dee Utha k sir tumharay astan se...zameen par gir para mai asman se Jab banda ALLAH ka zikr chhor deta hai to phir parishanian gher leti hain

"Haal" Aur "Maqam" - Sahib-e-Haal aur Sahib-e-Maqam ka farq

log aulia k maqamat ko pata naheen kya samajhtay hain. amal par dawam se haal hasil ho jata hai aur jab haal may rusookh ho jaey to wo maqam kehlata hai. jesay larko ko ramzan may namaz ka khoob shoq hota hai, to 30 din may wo un ka haal bun jata hai, us k baad thori see himmat kar k aur mehnat kar lain to us haal may rusookh paida ho jata hai jo maqam kehlata hai. Bus yehi maqamat kehlatay hain. Kisi ko namaz may rusookh hai to namaz may maqam, aur kisi ko nazar ki hifazat may rusookh hai to nazar ki hifazat may maqam, kisi ka jihad may maqam, kisi ka tableegh may maqam aur kisi ka ilm-o-fiqh aur hadees may maqam waghaira. Aksar log sahib-e-nisbat naheen ho patay, haal he se wapis lot jatay hain, thori se mehnat aur kar lain to maqam hasil ho jaey aur sahib-e-maqam ho jain. Shetan bhee haal he se wapis lot gya tha, sahib-e-nisbat na ho paya tha isi lye mardood ho gya. Jesay kisi ne 1 saal tak nazar bachai phir badnazri kar lee to ye haal se wapis lot gya. Thora aur mujahida kar leta to maqam hasil ho jata, kyoon k haal k baad dubara aoud naheen hua karta.

Khayal bhee to aik nemat hai

Khayal bhee to aik nemat hai. Nemat ka shukar karo ge to aur barhay gee aur agar na-shukri ki to achhay khayalat ana band ho jaaingay. Shukr ye hai k achhay khayal dil may laey buray khayalat ko na laey. Agar buray khayalat aain to apnay ikhtiar se hata kar achhay khayal se tabdeel karay. Buray khayalat may: ganday ganday khayalat, makhlooq se badgumani, ALLAH tala se husn-e-zan na hona waghaira. ALLAH tala se mustaqil husn-e-zan rakhna aik mustaqil ibadat hai. Rozana ALLAH ki rehmat ka intezar karna afzal ibadat hai. Lihaza aur nematon ki tarha nemat-e-khayal ka bhee agar shukr karay ga to ye nemat achhay khayalat ki aur barhay gee

ALLAH walo ki sohbat farz-e-ain hai

Hazrat wala ne farmaya k jo ALLAH walon se cut gya us ki misal cuti hui patang ki see hai. Jesay jab patang cut jati hai to us ki chaal bata deti hai k ab is ki dor kisi k hath may naheen rahi. wo dagmagati hui lehrati hui jati hai. phir aakhir may gnaday bachay us ko lootnay bhagtay hain aur akhir may chheena jhapti kar k phaar detay hain. Isi tarha ALLAH walon se jo door ho jata hai phir us ko nafs-o-shetan aur gumrah kun agencyaan gher leti hain.

Ilm zinda rehta hai takrar se...Aur ishq zinda rehta hai sohbat-e-abrar se
Muddat k baad phir teri yadon ka silsila...ik jism-e-natawan ko tawanai de gya

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k rizq may esi mashghooliat jo admi ko ALLAH walo se door kar de, go k ehl-e-fatawa us ko jaaiz kahain lekin mai us par haram ka fatwa deta hoon. Aur farmaya k is zamanay may ehlullah ki sohbat farz-e-ain hai. Kyoon k pehlay ALLAH walo se doori hoti hai, phir mashghooliat barhti hai jis se amaal chhootna shuru ho jatay hain phir is se rooh kamzor ho jati hai aur nafs mota ho jata hai. phir gunahon ka sudoor shuru ho jata hai.

Maqsad se jab admi hat'ta hai to parishaniaan gher leti hain

Maqsad se jab admi hat'ta hai to beemariaan aur parishaniaan gher leti hain. Gaaey bhayns apnay maqsad yani doodh denay may lagi hui hain jabhee bohat kam beemar nazar aaingi. Jab doodh dena chhor deti hain to bimar ho jati hain aur zibah kar di jati hain. Insan bhee jab apnay maqsad se hat jata hai to bimraiaan aur masaain gher letay hain. Aur maqsad ALLAH tala ne quran pak may bayan farmaya hai k hum ne jin-o-ins ko apni ibadat k lye paida kya hai

Eeman-e-kamil k sath parishani jama naheen ho sakti

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k Eeman-e-kamil k sath parishani jama naheen ho sakti. Jab tauheed kamil ho jati hai to sabr bhee kamil ho jata hai.

Husn-e-Zan k asraat murattab hotay hain

Husn-e-Zan k asraat murattab hotay hain. Hz. wala ne farmaya k "soch aur fikr se deen k qilay fatah hotay hain" aur farmaya k "khayali pulao banana bhee ibadat hai" yani ALLAH se khoob naik guman rakhay. Hz. Thanvi r.a. ne farmaya k "apnay khayalat ko husn-e-zan se bhar lo" Quran pak ki ayat hai k "Fa-iza azamta fatawakkal alallah" yani Ay nabi alaihissalam jab aap kisi baat ka azm kar lain to phir ALLAH par bharosa rakhain. is may taleem ye hai k jab admi azm kar le to phir ab ALLAH par bharosa rakhay.

dushmano ka paida hona bhee mujahida hai

bhala in ka moo hai k mere moo ko atay...ye dushman un he ubharay huay hain
baaz dafa insan may ujub aur kibr anay ka andesha hota hai to ALLAH tala us k khilaf kuchh dushmano ko ubhar detay hain, ya koi aur masaaib bhej detay hain, jis se us ko huzn hota hai aur ujub-o-kibr se hifazat rehti hai. Hz. Thanvi farmtay hain k huzn khud aik bohat bara mujahida hai. Hazrat Thanvi ne farmaya k "logon ki muhabbat aur hujoom se andesha tha ujub ka, ALLAH ne khansi de dee"

har shakhs ko muhabbat baqadr-e-istedaad dee jati hai

har shakhs ko muhabbat baqad-r-istedaad dee jati hai, warna istedaad se zyada de dee to tahammul na ho ga. isi lye bohat se logon ne shaikh se poochhay baghair zikr to kar lya jis se taqat to aai lekin tahammul se zyada honay ki waja se bardasht na kar sakay aur pagal ho gaey. isi istedad ko paida karnay k lye mujahida karaya jata hai.

ab mujahidat ki bhee 2 qismain hain: 1. ikhtiari, 2. ghair-ikhtiari. Ikhtiari mujahidat (zikr, nawafil waghaira) se to noor paida hota hai lekin ghair ikhtiari mujahidaat (yani bimari, parishani, gham, dushmano ka khof, tangdasti waghaira.) se istedaad barhti hai. Kyoon k huzn khud aik bohat bara mujahida hai. to jis ko zyada muhabbat deni hoti hai to ko masaaib de kar istedad barhai jati hai phir jab qalb may tahammul paida ho jata hai to us k baqadar muhabbat de dee jati hai. aik hikmat ye bhee hai k ikhtiari mujahidat se ujub-o-kibr ka jo andesha hota hai to huzn de kar us se hifazat kar dee jati hai.

Ibadat se to qurb milta hai lekin gunah chhornay se ALLAH ki riza milti hai

Ibadat se to qurb milta hai lekin gunah chhornay se ALLAH ki riza milti hai. qurb bhee 2 tarha k hain. jesay mujrim bhee darbar may badshah k qareeb hota hai aur shehzaday bhee. lekin shehzaday ko badshah ki riza hasil hai jab k mujrim ko naheen. shetan bhee ibadaat se muqarrab to ho gya lekin us ko riza hasil naheen thee.

khof 2 qisam k hotay hain: tabai khof, aqli khof

khof 2 qisam k hotay hain:
1. tabai khof
2. aqli khof

tabai khof to muzir naheen aur na he fitrat k khilaf hai. ye ambia ko bhee hua hai. jesay hazrat moosa a.s. ne asa phenka to wo saanp bun gya jis se wo daray, ye to tha tabai khof. jab k aqli khof ye hai k ghar k under hai aur bahir kutta bhonk raha hai aur darwazay ki kundi bhee laga hui hai phir bhee dar raha hai. ye aqli khof hai jo k muzir hai.

Ghaffari k sath sath sattari lazim hai

Ghaffari k sath sath sattari lazim hai, yani ALLAH tala jis ko maaf farmatay hain phir us ki parda poshi bhee farmatay hain, lihaza sattari k lye ghaffari karaey. jis shakhs ki ALLAH tala ne duni may parda poshi farmai ye alamat hai inshaALLAH isay akhrat may bhee ruswa naheen honay daingay.

parishani hoti hai khilaf-e-tawaqqo se

Hazrat Thanvi r.a.r ne farmaya k "parishani hoti hai khilaf-e-tawaqqo se aur ehlullah ne to apni tawaqqoaat ko khatam he kar dala" Hazrat gangohi r.a. ne farmaya k "dunia may is tarha rahi jesay tanha ho". Yani admi jab kisi se tawaqqoaat ko wabista kar leta hai aur agar us k khilaf ho jaey to parishani hoti hai isi lye siwa-e-ALLAH tala k har aik se tawaqqoaat ko khatam kar de. hatta k shaikh, maa, baap, behn bhai, aur bv bachon se bhee.

ye jah kar marz bhee zalim bhee aam ho gya hai

Hazrat Thanvi ne farmaya k "ye jah kar marz bhee zalim bhee aam ho gya hai log chahtay hain k koi hamari burai he na karay" aur farmaya k "tawaqqo tazeem ki na rakhay makhlooq se"

be-deen admi se dushmani mat karo kyoon k us k hudood naheen hoteen

Hz. Thanvi r.a. ne farmaya k "be-deen admi se dushmani mat karo kyoon k us k hudood naheen hoteen. jab wo dushmani karay ga to har had se guzar mutajawiz ho sakta hai jab k deendar admi to phir sochta hai hudood se darta hai" aik sher usool k tor par hazrat thanvi r.a. ne taleem farmaya k "jab 2 moozion may khat pat...to apnay bachnay ki fikr kar jhat pat" aur phir farmaya k "sukoot aur sukoon k sath alaihida ho jaey"

jo gumrahi ka kaam kartay hain un ko asbab-e-gumrahi bhee dye jatay hain

Hazrat wala ne farmaya k jo gumrahi ka kaam kartay hain un ko asbab-e-gumrahi bhee dye jatay hain aur jo hidayat ka kaam kartay hain top phir un ko asbab-e-hidayat bhee muhayya kye jatay hain. isi lye batil firqay walon ki kitab, koi taqreer bhee na parho, kaan laga kar tajassus se suno bhee naheen, kya maloom koi jumla esa ho jo dil may utar jaey aur phir us ka waswasa na nikal sakay. dil tassur le leta hai. un ki tehreer libas, hatta k jaey namaz aur tasbeeh may bhee zulmat hoti hai. wasawis aur ishkalat dil may aa saktay hain. aur agar waswasay aa jain to foran auzubillah aur "aamantu billahi warusulihi" parh lain.

jisay mili ho ishrat bari hasrat k baad...us par akhtar fana naheen aati

"jisay mili ho ishrat bari hasrat k baad...us par akhtar fana naheen aati".

mujahidaat k baad jo nemat hasil hoti hai us ki phir dil may qadar bhee bohat hoti hai. lekin nemat ko apnay mujahidaat ka samara samajhna nemat ki na-shukri hai. kya hamara mujahida aur talab is qabil hai? Hazrat wala ne farmaya k un k karam ka sabab bhee un ka karam he hai aur un ki rehmat ka sabab bhee un ki rehmat he hai.

barbad-e-muhabbat ko na barbad karaingay...mere dil-e-nashaad ko wo shaad karaingay

haal aur qaal mojib-e-qurb naheen, mojib-e-qurb sirf amaal hain

Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "haal aur qaal mojib-e-qurb naheen, mojib-e-qurb sirf amaal hain." yani kefiaat se admi samajhta hai k qurb hasil ho gya, halan k esa naheen hai. na to kefiaat se ALLAH milta hai aur na he zyada baaton, bayan bazi aur hazir jawabi se ALLAH milta hai. ALLAH tala sirf amal se milta hai, ittiba-e-sunnat k rastay milta hai. Bayanat se doosron ko to faida shayad ho jaey lekin khud ko faida jabhee ho ga jab tak k amal na karay ga. Hazrat Shaikh-ul-Hadees molana Zakria r.a. taqreer naheen kartay thay, sirf sabaq parhatay thay, lekin kaam un se kitna hua, ye wohi dard-e-dil aur sunnat-e-nabvi sallallah-o-alaihi wasallam se ishq hai k deen ka kaam hua. jo khud ba-amal naheen hota to wo chahay lakh taqreerain kar le barkat nahee hoti.

tawaqqo kamal ki chhorna wajib hai

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "tawaqqo kamal ki chhorna wajib hai" yani esi tawaqqoaat ko khatam karna wajib hai k mai itna bara buzurg bun jaoon ya falan maqam hasil ho jaey. ye bhee talib-e-maqam hai. maqsood to sirf amal hai aur amal se amal se maqsood ALLAH ki riza hai. Hazrat haji imdadullah mahajir makki r.a. ne farmaya k "kaam par nazar chahye samaray par na chahye"

Arif hona koi bari baat thori hai, asal cheez to yehi faqeeri hai

Arif hona koi bari baat thori hai, asal cheez to yehi faqeeri hai aur apnay ko mitana hai. khali jan lenay se kya hota hai, janta to shetan bhee tha, lekin under kibr ka zehr tha. maarifat to darasal yehi k admi ALLAH ki azmaton se waqif ho jaey jis se apni haqeeqat ko pehchan le k mai kuchh naheen hoon. tab maarifar ki kuchh haqeeqat naseeb ho gee. warna admi sirf malfoozaat ratnay se kuchh naheen hota.

jab mehr hua numayan...sub chhup gaey taray...wo bhari bazm may humain tanha nazar aey

apnay ko kuchh samajhna ibleesiat k siwa kuchh naheen

apnay ko kuchh samajhna ibleesiat k siwa kuchh naheen. hum is dunia may apnay ko mita kar apnay Mola ko wusool karnay k lye aey hain. (Hazrat Maulana Abdul Mateen Sb. d.b. -

Khalifa-e-Majaz Hazrat Wala Hazrat Maulana Shah Hakeem Muhammad Akhtar sb. d.b. - Bangladesh)

Apnay ko naqis samajhna k mazeed taraqqee ho ye mubarak hai

Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "apnay ko naqis samajhna k mazeed taraqqee ho, ye to mubarak hai, lekin jab is se mayoosi honay lagay aur tark-e-amaal ka sabab banay to ab ye jaiz naheen" aur farmaya k "fuzool jan ko ghulana nemat-e-jan ki na-qadri hai" yani mazi aur mustaqbil ki soch may ghulana

admi apnay ko sari zindagi kuchh na samjhay

Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "apnay ko sari zindagi kuchh na samjhay, aur istighfar aur mualijay he may apni zindagi ko khatam kar de"

apnay kamalaat par nazar aamaal ko tark kara deta hai

Apnay ko ba-kamal to samajh saktay hain lekin afzal naheen. jesay agar koi hafiz-e-quran ya alim hai to us ko kamal to behr haal hasil hai, to wo apnay ko aam admi k muqablay may ba-kamal to samajh sakta hai lekin us se afzal naheen samajh sakta. Afzaliat ka ilm ALLAH tala he ko hai

Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k "apnay kamalaat par nazar aamaal ko tark kara deta hai" yani apnay ko ba-kamal to admi samajh sakta hai lekin is ko orhna bichhona he na bana le k har waqt apnay he kamalaat ko soch rahay hain.

shaikh k samanay apni qabliat ka izhar sakht be-adabi hai

shaikh k samanay apni qabliat ka izhar sakht be-adabi hai. Mureedeen apnay achhay halaat to batatay hain lekin buray halaat naheen, ye alamat hai k ikhlas naheen hai aur islah ki sachi talab naheen hai. waja ye hai k under jaah chhupi hoti hai k meri tareef ho aur mujhe daant na paray. ye mukhlis naheen hai.

DUA ka falsafa

Duaon ki jald qubooliat ka aik bohat bara nuskha ye hai k ALLAH tala se is baat par razi ho jaey k "ya ALLAH meri ye dua agar maut tak bhee qubool naheen hui to martay dum tak mai razi rahoonga" ALLAH tala ko itna pyar ata hai k "achha ye banda hum se razi rahay ga, laao is ka ye kaam kar do"

dua qubool to ho jati hai lekin zuhoor ALLAH pak jab behtar samajhtay hain us waqt kartay hain. ooper dua may qubool ba-maani zuhoor k hain. yehi riza-bil-qaza hai jo ikhlas se bhee ooncha maqam hai. kyoon k jo har har moqay par ALLAH k har faislay par razi ho to is se barh kar mukhlis aur kon ho ga isi lye ye riza-bil-qaza ikhlas se bhee ooncha maqam hai. aur har tajveez baqa-e-nafs ki daleel hai. yani tajweez ka baqi hona daleel hai k nafs abhee mita naheen zinda hai.

tajveez kehtay hain k apni raey ko baqi rakhna jo k nafs k na mitnay ki alamat hai aur tafweez ye hai k apnay har deeni aur dunyavi maamlay ko kulli taur par ALLAH k supurd kar dena aur apni raey yani tajweez ko khatam kar dena)

Tadabeer may sub se qavi tadbeer dua hai. tadbeer na karna jihalat aur is par bharosa karna himaqat hai, yani tadbeer to karay lekin is par bharosa na karay, bharosa sirf ALLAH tala ki zaat aur un k hukum par ho. tadbeer aur dua k baad jo na-muradi ho wo ALLAH ki murad hoti hai. tadbeer may barkat bhee dua he se ati hai.
jab zameen pay na ho tadbeer-e-zamanto kyoon na jaey aah soo-e-asmaan

Lekin dua se bhee qavi aik tadbeer hai aur wo hai "ALLAH ko razi karna". kyoon k jab wo razi ho jatay hain to phir sub kaam khud he bana detay hain. jesay baap bachay se naraz ho to tofee bhee naheen deta, lekin jesay he bacha ro ro kar apnay abba ko mana leta hai to baap na sirf maaf karta hai balkay inaam-o-ikraam ki barish bhee kar deta hai. isi tarha ALLAH tala se jab maafi maang kar un ko razi kar letay hain to phir wo na sirf maaf kartay hain balkay nawazishaat bhee khoob kartay hain. aur jitna samajhdar bacha hota hai wo usi hisab se mangta hai. jesay chhota bacha tofee mangta hai, thora aur samajhdar hota hai to cycle mangta hai aur samajhdar hota hai to motor-bike aur car mangta hai, aur samajhdar hota hai to bangla factory mangta hai kyoon k agar bachay ko pata ho k mera abba bohat ameer hai aur bohat khazanay hain to kam naheen mangay ga. isi tarha jo banda jitna zyada ALLAH ka arif ho ga yani ALLAH ko janta ho ga usi qadar mangay ga.

aik sahab ne hazrat wala se kaha k chhota moo aur bari baat hai hamari itni auqat kahan k bari cheez mangain, to Hazrat wala ne farmaya k apnaa moo dekh kar naheen un ki shan dekh kar maango. hamara moo to is qabil bhee naheen k aik niwala bhee dya jaey. lihaza un ki shan aur un k karam k sadqay may maango.

jesay aik badshah ne aik kisan se kaha k hum tujhe apna dost banatay hain. to us ne kaha huzoor agar aap ne mujhe apna dost banaya to jab aap mere ghar aaingay to aap to hathi pay beth kar aaingay to meri to jhonpri hai, na mai rahoonga na meri jhonpri. to badshan ne kaha be-waqoof jis ko hum dost banatay hain to phir pehlay us ka ghar bhee apnay hisab se he banwatay hain phir hum us k ghar atay hain.
matlab ye hai k jis ko ALLAH apna banatay hain phir us k hoslay bhee buland hotay hain phir wo chhoti cheez naheen maangta us ko jab nemat detay hain to nemat ka tahammul bhee detay hain.

Hazrat wala ne farmaya k "apnay ko ehl samajh kar agar dua ki jaey to dua qubool naheen hoti, apnay ko na-ehl samajh kar maango". log kehtay hain k hum zarooriaat-e-zindagi k to mustahiq hain, ye aqeeda sahee naheen ghalat aqeeda hai. Hazrat wala ne farmaya k apna aqeeda durust kar lo k hum zarooriaat-e-zindagi k bhee mustahiq nshee hain. hum ALLAH ki milk hain wo jesa chahay tasarruf karain. ye sub ata mehz ALLAH ka karam hota hai.

Duaon may yaqeen amaal (namaz, zikr-o-tilawat) ki pabandi k baghair naheen ata.

dua ka falsafa ye hai k baaz dafa koi kaam esa hota hai k itni miqdar may dua karay ga to phir qubool ho ga aur us ka zuhoor ho jaey ga. aulia ALLAH ki duain is lye jald qubool ho jati hain k wo gunah naheen kartay. masla ye hota hai k hum dua bhee kartay hain lekin beech may gunah bhee kar bethtay hain jis se duaon ki qubooliat may der hoti hai. jesay koi kaam esa hai k jis k lye 100 duaon ki miqdar muqarrar hai. ab agar beech may 15 gunah bhee kar dye to 100 k bajaey ab 115 duain chahye hongee kyoon k pehlay 15 to gunahon k badal chhatnay may lag jaingee aur phir baqi 100 poori karni hongee takay wo kaam ho jaey. yani jo kaam 100 duaon may hona tha ab 15 gunahon ki waja se 100 k bajaey 115 duaon may ho ga. lekin aik baat hai k yaa to aik aik dua kar k 100 ki tadad ko poora karay ya phir aik he dua esi karay jo 100 ki tadaad k barabar ho aur direct kaam ho jaey. yani itna zor se ALLAH k samnay roay aur sijda gaah ko ro ro kar tar kar de k foran us ka kaam ho jaey.

har dua ka qubool ho jana alamat-e-maqbooliat naheen. Dua to shetan ki bhee qubool hui thee. apni manwana kamal naheen . kamal to ye hai k un ki maan kar chalay. isi lye mayoos na ho. un ki maan raha hai to kuchh fikr naheen. shuru may salikeen ko duaon may tabai yaqeen to hasil hota hai lekin wo aksar "haal" hota hai "maqam" naheen hota hai. is k rusookh k lye phir salik ko mujahidat se guzara jata hai. aik buzurg farmatay hain k mai ne apnay iradon k tootnay se ALLAH ko pehchana. to baaz dafa taweel arsay tak dua ka zuhoor naheen hota. ye waqfa-e-tarbiat hota hai, takay dua k yaqeen k sath riza-bil-qaza ka sabaq pakka ho jaey aur rusookh kar k maqam bun jata hai. aur ye riza ka maqam ikhlas se bhee ooncha maqam hai. aur ye hasil hota naheen jab tak k iraday na tootain aur phir us par wo tafweez na karay

neki se dil khush hona aur gunah se ghamgeen hona eeman ki alamat hai

Hadees pak ka mazmoon hai k "jab neki k baad dil khush ho aur gunah k baad ghamgeen ho to ye alamat-e-eeman hai". Hazrat thanvi r.a. ne farmaya k ye neki par dil ka khush hona biz-zatihi (yani apni zaat ka kamal) naheen hai balkay un ki nazr-e-karam ki waja se hota hai. isi tarha gunahon par dil ka maghmoom hona bhee biz-zatihi naheen hai balkay un ki nazr-e-karam ka sadqa hota hai. lihaza neki par khush to ho lekin apna kamal samajh kar naheen un ki ata samajh kar khush ho.

Insani shakal may humain jo paida farmaya is nemat ka bhee shukr karay

aik buzurg farmatay hain k ALLAH ne insani shakal may paida farmaya to ye bhee to nemat hai jis ka hum shukr ada naheen kartay. aur phir ooper se eeman islam aur is ummat may paida kar dena ye un ka kitna bara karam aur mehz un ki ata hai.

ALLAH k khof se niklay huay ansoon ki waja se marood naheen hota

Hazrat wala ne farmaya k jis shakhs ka zindagi may aik bar bhee ALLAH ki muhabbat ya khof se aik ansoo bhee nikla ho ga mera zoq ye hai k wo mardood naheen ho ga inshaALLAH. wo ansu raaigaan naheen jata. wo ALLAH k khazano may mehfooz ho jata hai. ab agar wo shakhs bohat door bhee kahee nikal gya aur ALLAH se door ho gya aur aik zamana bhatakta raha lekin ALLAH tala usay naheen bhooltay, apnay khazano may se us ka wo ansu phir dubara nikaltay hain aur farishton ko hukum hota hai k jao hamaray us banday ko talash karo, kahan chala gya hamara wo banda jo kabhee hamari yad may roya tha, jao phir us k dil may tofeeq dalo k ye banda hamari yad may kabhee roya tha.

muddat k baad phir teri yaadon ka silsila
ik jism-e-natawaan ko tawanaai de gya

lag chuka tha dil qafas may phir pareeshan kar dya
hum safeeron tum ne kyoon phir zikr-e-gulistan kar dya

(yani hamara dil to is dunia k pinjray may he mutma'in ho gya tha aur is ki rangeen teelion may gum ho gaey thay k bahir se phir koi ALLAH wali chirya aai jis ne gulistan ka yani us ka tazkira chher dya aur phir se un ki yaad taza ho gai aur dubara un ka naam lenay ki tofeeq ho gai)

ALLAH tala hamaray lye kafi hain

ALLAH tala Quran pak may farmatay hain k "hum ne is zameen-o-asmaan ko paida kya hai aur hum he bhala na janaingay is k baray may" to jis ne humain paida kya hai to kya wo hamari zaroorton se waqif naheen ? !!! to ALLAH tala se deen, sehat, rizq, izzat, afiat, dolat sub kuchh mango, to phir jab mushkil ka waqt ata hai to ALLAH tala us banday ko zaya naheen kartay, k is ne hum se maanga hua hai, rizq ka masla aya to us k lye ko maanga tha afiat k dino may ab wohi maanga hua aur wohi duaain kaam aaingee

Aur ALLAH tala Quran pak may hain k "Kya ALLAH apnay apnay banday k lye kafi naheen" to phir hum kyoon fikr kartay hain

Muhabbat kya hai dil ka dard se mamoor ho jana

Muhabbat kya hai dil ka dard se mamoor ho jana
mata-e-jaan kisi ko sonp kar majboor ho jana

qadam hain raah-e-ulfat may to manzil ki hawas kesay
yahan to ain manzil hai thakan se choor ho jana

yahan to sir se pehlay dil ka soda shart hai yaro
koi asan hai kya sarmad-o-mansoor ho jana

basa lena kisi ko dil may dil he ka kaleja hai
paharon ko to bus ata hai jal kar toor ho jana

nazar se door reh kar bhee taqi wo paas hain mere
k meri ashiqi ko ayb hai mehjoor ho jana

(Hazrat Mufti Taqi Usmani Sb. Db.)

khof alamat-e-maqbooliat hai

hazrat wala ne farmaya k kisi achhay amal k baad ye khof hona k qubool hua k naheen to ye alamat-e-maqbooliat hai us amal ki. Hadees pak ka mazmoon hai k "neki se dil khush ho aur gunah se dil maghmoom ho to ye eeman ki nishani hai"

Hazrat Thanvi r.a. ne farmaya k "neki ko ALLAH ki ata samajh kar khush hona biz-zatihi naheen balkay ALLAH ki nazr-e-karam ki waja se dil khush hua, isi tarha gunah se dil ka ghamgeen hona ye biz-zatihi naheen hai, mehz ALLAH ki nazr-e-karam ki waja se hai" matlab ye k neki par dil khush hona aur gunah par ghamgeen hona bhee hamara kamal naheen balkay ALLAH k nazr-e-karam ki waja se hota hai.

Hazrat wala ne farmaya k jab admi apni nazar may achha hota hai to ALLAH ki nazar may bura hota hai aur jab apni nazar may bura hota hai to ALLAH tala ki nazar may achha hota hai

jis amal may nafsaniat ho gee to us se logon ko nafrat ho gee

Hazrat thanvi r.a. ki ajeeb tehqeeq hai k "jis amal may nafsaniat ho gee to us se logon ko nafrat ho gee" jesay naseehat kartay waqt tanz ya tehqeer ho, ya banawati tawazo ho,

ya dikhaway ka taqwa ho, ya badnazri aur haseeno se bachnay ka tazkira kar raha hai lekin khud is ka dil us tazkiray se mazay le raha hai to esi nafsaniat se logon k dilon may

muhabbat k bajaey nafrat paida ho gee