Tuesday 26 April 2011

apnay nafs par bharosa mat karo

Hazrat wala ne farmaya k apnay nafs par bharosa mat karo. 100 saal k bhee ho jao tab bhee aitibar na karo.

bharosa kuchh naheen is nafs-e-ammara ka ay zahid
farish bhee ye ho jaey to is se bad-guman rehna

baaz dafa nafs khud he sawal karta hai aur khud he jawab deta hai jesay k "naheen yar mai gunah ki niat se ye naheen dekh raha, ya mai to kuchh aur dekhna chahta tha waghaira." ye sub nafs ki chalain hain. dil ka har waqt inspection kartay raho k is may shetan kaheen ghairullah ka injection to naheen laga raha jis se rooh ka may infection ho jaey

hamaray nafs-e-ammara jab daam-e-butaan badla
to hum ne bhee baab-e-taqwa par foran pasban badla

yani dil par jo gateman muqarrar kya tha k nafs ki nigrani karay wo dushman se mil gya, ab khud he apnay sawalat ka jawab de raha hai.

jesay aik admi ne Hazrat wala se kaha k mai to har larki ko nikah ki niat se dekhta hoon. Hazrat wala ne farmaya k ye sub nafs ki chaal hai. kisi bhee niat se dekhna jaiz naheen. Na-mehram ko dekhna he haram hai chahay kisi bhee niat se dekhay, beti, behn, maa samajh kar ya kisi bhee niat se naheen dekh saktay. aik sahab ne Hazrat wala se kaha k Hazrat mera to dil saaf aur nazar pak hai. aur mai falan larki mujh se pakeeza muhabbat karti hai. Hazrat wala ne farmaya k aik din in ko akela chhor do phir dekho in ki pakeezgi k hangamay.

Hazrat wala ne farmaya k Hazrat Ali r.a. se zyada kis ki nazar aur dil pak ho saktay hain lekin Aap Sallallah-o-alaihi wasallam Hazrat Ali r.a. ko farma rahay hain k "Ay Ali! pehli nazar jo achanak par jaey wo maaf hai doosri naheen". to jab Hazrat Ali r.a. ko mustasna naheen farmaya to hum kon hotay hain ye kehnay walay k dil pak nazar saaf hai. Hazrat wala ne farmaya k jis ki ankh napak ho gee us ka dil bhee napak paleed ho ga